Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab

Rana Sahri

KHwab

Rana Sahri

MORE BYRana Sahri

    vo ḳhvāb ki jin meñ jaltī thī sham.eñ tere ruḳhsāroñ

    vo ḳhvāb ki jin meñ bantī thī tasvīr mire shahkāroñ

    vo ḳhvāb ki jin tāqat se duniyā ruup badalnā thā

    vo ḳhvāb ki jin ThanDak meñ sho.aloñ par mujh ko chalnā thā

    vo ḳhvāb ki jin ke dāman meñ tahzīb-e-nau ke ḳhāke the

    aane vaale kal ḳhushiyāñ guzre hue kal ke saa.e the

    un ḳhvāboñ ke anjām pe ye āñkheñ sharminda hotī haiñ

    vo ḳhvāb jo saare TuuT chuke un mayyat pe rotī haiñ

    ye duniyā kitnī zālim hai ḳhvāboñ saudā kartī hai

    ma.asūm diloñ ārzūeñ sikkoñ meñ taulā kartī hai

    is duniyā ke har goshe meñ ġhurbat hai bhuuk hai ḳhvārī hai

    kuchh ke hisse meñ sarmāya kuchh hissa nādārī hai

    aisī duniyā meñ ḳhvāb mire zinda kaise rah sakte the

    shīshe tarah vo nāzuk the ye Thes kahāñ sah sakte the

    lekin maiñ abhī māyūs nahīñ har ġham ko ḳhushī meñ Dhālūñgā

    vo ḳhvāb jo mujh se ruuTh ga.e un ḳhvāboñ ko samjhā lūñgā

    maiñ phir ubhrūñgā jiine ke kuchh aur na.e armān liye

    ye daur badalne ke da.ave apne haq elaan liye

    maiñ bastī bastī ghar ghar meñ na.aroñ aag bichchhā dūñgā

    mazlūm jafā-kash logoñ soī taqdīr jagā dūñgā

    maiñ giit likhūñgā fasloñ par bāġhoñ khetoñ khaliyānoñ par

    mill mazdūroñ Tolī par gaañv ke mast kisānoñ par

    ab jab tak bhī maiñ zinda huuñ har dukh har sadma jhelūñgā

    maiñ tūfānoñ se uljhūñgā maiñ har ḳhatre se khelūñgā

    aur mar bhī gayā to dhartī ke har zarre meñ baT jā.ūñgā

    maiñ har ik ke ġham sāthī sab shā.ir kahlā.ūñgā

    wo KHwab ki jin mein jalti thi shamen tere ruKHsaron ki

    wo KHwab ki jin mein banti thi taswir mere shahkaron ki

    wo KHwab ki jin ki taqat se duniya ka rup badalna tha

    wo KHwab ki jin ki ThanDak mein shoalon par mujh ko chalna tha

    wo KHwab ki jin ke daman mein tahzib-e-nau ke KHake the

    aane wale kal ki KHushiyan guzre hue kal ke sae the

    un KHwabon ke anjam pe ye aankhen sharminda hoti hain

    wo KHwab jo sare TuT chuke un ki mayyat pe roti hain

    ye duniya kitni zalim hai KHwabon ka sauda karti hai

    masum dilon ki aarzuen sikkon mein taula karti hai

    is duniya ke har goshe mein ghurbat hai bhuk hai KHwari hai

    kuchh ke hisse mein sarmaya kuchh ka hissa nadari hai

    aisi duniya mein KHwab mere zinda kaise rah sakte the

    shishe ki tarah wo nazuk the ye Thes kahan sah sakte the

    lekin main abhi mayus nahin har gham ko KHushi mein Dhaalunga

    wo KHwab jo mujh se ruTh gae un KHwabon ko samjha lunga

    main phir ubhrunga jine ke kuchh aur nae arman liye

    ye daur badalne ke dawe apne haq ka elan liye

    main basti basti ghar ghar mein naron ki aag bichchha dunga

    mazlum jafa-kash logon ki soi taqdir jaga dunga

    main git likhunga faslon par baghon kheton khaliyanon par

    mill mazduron ki Toli par ganw ke mast kisanon par

    ab jab tak bhi main zinda hun har dukh har sadma jhelunga

    main tufanon se uljhunga main har KHatre se khelunga

    aur mar bhi gaya to dharti ke har zarre mein baT jaunga

    main har ek ke gham ka sathi sab ka shair kahlaunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now