Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwabon KHayalon ki apsara

Daur Afridi

KHwabon KHayalon ki apsara

Daur Afridi

MORE BYDaur Afridi

    suḳhan fareb koī mehrbāñ tarah

    dayār-e-husn hai duniyā dāstāñ tarah

    ye muskurātī huī sub.d-o-shām-o-shab dulhan

    dil-o-nazar ke liye sūd-e-be-ziyāñ tarah

    ye imtizāj-o-zar-e-shirq-o-ġharb culture

    nigāh-e-husn liye ishq āshiqāñ tarah

    harīr-o-resham-o-dībā meñ rañg-e-nāz-o-adā

    sukūn-e-dil ke liye haiñ qarār-e-jāñ tarah

    ye rañg rañg ke unvāñ liye hasīñ chehre

    sanam-kadoñ meñ taḳhayyul ke haiñ butāñ tarah

    suDaul jism ki sard-e-ravāñ sar-e-rāhe

    chale haiñ naaz se hūrān-e-āsmāñ tarah

    ye lahkī mahkī fazā.eñ ye dil-rubā paikar

    guloñ ke rañg meñ Duube hue jahāñ tarah

    ye rabt-o-raqs-o-tarannum havā lahroñ meñ

    qadam qadam pe adā-hā-e-mah-vishāñ tarah

    ye jagmagātī huī raat ye dahakte kañval

    nujūm-o-māh-o-surayyā-o-kahkashāñ tarah

    ye mere ḳhvāboñ-ḳhayāloñ apsarā jis meñ

    nigāh-e-fikr-o-amal tiir kamāñ tarah

    magar vatan bhī chhuTā 'daur' dil dil meñ rahī

    ye bamba.ī bhī na ho ḳhvāb-e-dīgarāñ tarah

    suKHan fareb koi mehrban ki tarah

    dayar-e-husn hai duniya ki dastan ki tarah

    ye muskuraati hui subd-o-sham-o-shab ki dulhan

    dil-o-nazar ke liye sud-e-be-ziyan ki tarah

    ye imtizaj-o-zar-e-shirq-o-gharb ka culture

    nigah-e-husn liye ishq aashiqan ki tarah

    harir-o-resham-o-diba mein rang-e-naz-o-ada

    sukun-e-dil ke liye hain qarar-e-jaan ki tarah

    ye rang rang ke unwan liye hasin chehre

    sanam-kadon mein taKHayyul ke hain butan ki tarah

    suDaul jism ki sard-e-rawan sar-e-rahe

    chale hain naz se huran-e-asman ki tarah

    ye lahki mahki fazaen ye dil-ruba paikar

    gulon ke rang mein Dube hue jahan ki tarah

    ye rabt-o-raqs-o-tarannum hawa ki lahron mein

    qadam qadam pe ada-ha-e-mah-wishan ki tarah

    ye jagmagati hui raat ye dahakte kanwal

    nujum-o-mah-o-surayya-o-kahkashan ki tarah

    ye mere KHwabon-KHayalon ki apsara jis mein

    nigah-e-fikr-o-amal tir ki kaman ki tarah

    magar watan bhi chhuTa 'daur' dil ki dil mein rahi

    ye bambai bhi na ho KHwab-e-digaran ki tarah

    Source:

    Veeraniyan (Pg. 69)

    • Author: Daur Afridi
      • Edition: 1970
      • Publisher: Daur Afridi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now