aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwabon ki haqiqat

Ahmad Wasi

KHwabon ki haqiqat

Ahmad Wasi

MORE BYAhmad Wasi

    bachcha

    mammy mujh ko bātoñ se bahlāo

    kyā hote haiñ ḳhvāb mujhe batlāo

    mujhe batāo kyā ḳhvāboñ haqīqat hai

    kyūñ-kar kaise itnī pyārī jannat hai

    kyā ye sach hai duudh nahreñ bahtī haiñ

    vahāñ kahīñ kyā rañgīn pariyāñ rahtī haiñ

    maañ

    mere munne ġhaur se sun jo sunātī huuñ

    tujhe haqīqat ḳhvāboñ samjhātī huuñ

    ḳhvāb hamārī aql paidā jazba hai

    sach pūchho to ḳhvāb faqat ik dhoka hai

    ḳhvāb hamārī fikr aur soch jannat hai

    ḳhvāb nahīñ kuchh is yahī haqīqat hai

    bachcha

    mammy mujh ko baaton se bahlao na

    kya hote hain KHwab mujhe batlao na

    mujhe batao kya KHwabon ki haqiqat hai

    kyun-kar kaise itni pyari jannat hai

    kya ye sach hai dudh ki nahren bahti hain

    wahan kahin kya rangin pariyan rahti hain

    man

    mere munne ghaur se sun jo sunati hun

    tujhe haqiqat KHwabon ki samjhati hun

    KHwab hamari aql ka paida jazba hai

    sach puchho to KHwab faqat ek dhoka hai

    KHwab hamari fikr aur soch ki jannat hai

    KHwab nahin kuchh is ki yahi haqiqat hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now