aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwahish ka jurm

Kumar Pashi

KHwahish ka jurm

Kumar Pashi

MORE BYKumar Pashi

    us ne ḳhvāhish to vo zāhir huā

    rañg tārīkī se nikle aur sadā dene lage

    saaya saaya ho ga.ī kaalī guphā tīrgī

    aur har manzar numāyāñ ho gayā

    maiñ bhī thā ik raushnī aur tīrgī ke darmiyāñ

    mujh ko bhī zālim havā ne Das liyā

    aur maiñ bhī zindagī aag meñ jalte lagā

    ḳhāk-o-ḳhūñ ke rañg meñ Dhalne lagā

    us ne ḳhvāhish to us ko maut ke saa.e mile

    maiñ ne ḳhvāhish to mujh ko jism maqtal milā

    us ne KHwahish ki to wo zahir hua

    rang tariki se nikle aur sada dene lage

    saya saya ho gai kali gupha ki tirgi

    aur har manzar numayan ho gaya

    main bhi tha ek raushni aur tirgi ke darmiyan

    mujh ko bhi zalim hawa ne Das liya

    aur main bhi zindagi ki aag mein jalte laga

    KHak-o-KHun ke rang mein Dhalne laga

    us ne KHwahish ki to us ko maut ke sae mile

    main ne KHwahish ki to mujh ko jism ka maqtal mila

    Source:

    auraq salnama magazines (Pg. e-267 p-255)

    • Author: Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
      • Edition: 1967
      • Publisher: Daftar Mahnama Auraq Lahore
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now