Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwahish ka shor

Saleem-ur-Rahman

KHwahish ka shor

Saleem-ur-Rahman

MORE BYSaleem-ur-Rahman

    maiñ us nagar talāsh meñ huuñ

    jahāñ pe har shaam chāñd god se fazāoñ meñ phuul utreñ

    Dagar Dagar udaas ḳhushbū diloñ ko mīThā dard baḳhshe

    nashe meñ khoī mast sāñsoñ meñ

    ḳhvāhishoñ udaas dhīmā shor

    āñkhoñ meñ aarzū kathā kahānī

    larazte aañsū ḳhamosh ma.asūm dhaḌkanoñ zabān kholeñ

    bahār se āñchaloñ ke saa.e meñ

    Dāliyoñ machaltī bāñheñ sukūn bhar ek aasrā huuñ

    aur aise sone samay rut meñ

    in āñsuoñ ke ḳhamosh meloñ dukhoñ ke nāshād jamghaToñ meñ

    ye ek dil dūsre se hargiz bichhaḌ na paa.e

    main us nagar ki talash mein hun

    jahan pe har sham chand ki god se fazaon mein phul utren

    Dagar Dagar ki udas KHushbu dilon ko miTha sa dard baKHshe

    nashe mein khoi si mast sanson mein

    KHwahishon ka udas dhima sa shor

    aankhon mein aarzu ki katha kahani

    larazte aansu KHamosh masum dhaDkanon ki zaban kholen

    bahaar se aanchalon ke sae mein

    Daliyon si machalti banhen sukun bhar ek aasra hun

    aur aise sone samay ki rut mein

    in aansuon ke KHamosh melon dukhon ke nashad jamghaTon mein

    ye ek dil dusre se hargiz bichhaD na pae

    Source:

    Manzar Jagta Sota Hua (Pg. 43)

    • Author: Saleem-ur-Rahman
      • Publisher: Multi Media Affairs, Lahore
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now