Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwatin ka bank

Khalid Irfan

KHwatin ka bank

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    sunte haiñ shahr meñ jo ḳhvātīn hai bank

    parvez nahīñ hai ye parvīn hai bank

    rakkhī haiñ is liye yahāñ ḳhātūn manager

    is mohkme ko chāhiye bātūn manager

    ladies ittihād jo begānagī se hai

    kyā jaane ḳhauf kyā unheñ mardāngī se hai

    nok-e-zabāñ bhī chalne lagī hai zabāñ ke saath

    beTī bhī hai sharīk laḌā.ī meñ maañ ke saath

    har nāznīñ ke sāmne ik beauty-box hai

    baaqī rakhā hai ghar meñ ye thoḌā aks hai

    baiThī haiñ apne sāmne gesū sañvār ke

    locker meñ rakh diyā hai dupaTTa utaar ke

    chaTḳhāre haiñ zabāñ pe nazar meñ ishāre haiñ

    har māh-vash ke pars meñ imlī kaTāre haiñ

    jo baat kar rahī haiñ kamā.ī ke shobe

    vo head haiñ lagā.ī-bujhā.ī ke shobe

    kal saas se zabān ke bal par laḌī haiñ ye

    ilm-e-lissniyāt meñ p.hd haiñ ye

    khāte in ko fikr na ledger fikr hai

    nandoñ ġhībateñ haiñ to devar zikr hai

    shādī ke ba.ad nuqta banīñ dash ho ga.iiñ

    pahle jo check-bōk thiiñ vo ab cash ho ga.iiñ

    har nāznīñ umr bhī ḳhufiya account hai

    kyā jaane in umr meñ kitnā amount hai

    ye husn ḳhazāna koī kyā dabochegā

    Daaku bhī Daaka Dālne se pahle sochegā

    nākāra shauharoñ ko bhī debit karā.ī.e

    nisvāniyat yahāñ se credit karā.ī.e

    sunte hain shahr mein jo KHwatin ka hai bank

    parwez ka nahin hai ye parwin ka hai bank

    rakkhi hain is liye yahan KHatun manager

    is mohkme ko chahiye baatun manager

    ladies ittihad jo beganagi se hai

    kya jaane KHauf kya unhen mardangi se hai

    nok-e-zaban bhi chalne lagi hai zaban ke sath

    beTi bhi hai sharik laDai mein man ke sath

    har naznin ke samne ek beauty-box hai

    baqi rakha hai ghar mein ye thoDa sa aks hai

    baiThi hain apne samne gesu sanwar ke

    locker mein rakh diya hai dupaTTa utar ke

    chaTKHare hain zaban pe nazar mein ishaare hain

    har mah-wash ke pars mein imli kaTare hain

    jo baat kar rahi hain kamai ke shobe ki

    wo head hain lagai-bujhai ke shobe ki

    kal sas se zaban ke bal par laDi hain ye

    ilm-e-lissniyat mein phd hain ye

    khate ki in ko fikr na ledger ki fikr hai

    nandon ki ghibaten hain to dewar ka zikr hai

    shadi ke baad nuqta banin dash ho gain

    pahle jo check-book thin wo ab cash ho gain

    har naznin ki umr bhi KHufiya account hai

    kya jaane in ki umr mein kitna amount hai

    ye husn ka KHazana koi kya dabochega

    Daku bhi Daka Dalne se pahle sochega

    nakara shauharon ko bhi debit karaie

    niswaniyat yahan se credit karaie

    Source:

    No Problem (Pg. 91)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now