Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ki tum ye sach mano

Hameed Suharwardy

ki tum ye sach mano

Hameed Suharwardy

MORE BYHameed Suharwardy

    sach maano maiñ ne tumheñ dekhā nahīñ

    ek martaba yuuñ huā thā

    ki māyūs lamhoñ meñ tumheñ āvāz de kar apnī taraf mutavajjah karne sa'ī kar rahā thā

    ki āhista se āvāz aa.ī

    vo nahīñ hai yahāñ pahāḌoñ duniyā meñ apne safar par chukā hai

    ab vo yahāñ nahīñ hai

    sirf apnī parchhā.īñ āsūdgī ko chhoḌe

    kisī anjān jazīre khoj meñ nikal chukā hai

    phir vo kahīñ se zaḳhmī ho kar tumhāre paas aa.egā

    aur apnī āvāz yuuñ buland karegā

    kyā tum ne mujhe pukārā

    tum kahnā hargiz nahīñ

    mirī ‘ibādat kisī bhī khoj ke liye nahīñ hai

    maiñ mahsūs kartā huuñ aksar auqāt

    ki māyūs lamhe pazhmurda se ho kar

    ḳhūbsūrat zabān sunñā chāhte haiñ

    lekin mirī ‘ibādat kisī bhī khoj ke liye nahīñ hai

    chand saal pahle maiñ us bulandī par pahuñchā thā

    vahāñ sirf jangal the ādamiyoñ qaht thā

    maiñ akelā thā aur vo kisī ḳhvāb-nāk bastī meñ ḳhud ko mahsūs karne gayā thā

    dar-asl vo apne kiye par pashemān hai

    aur maiñ āzād huuñ

    ki tum ye sach maano maiñ ne tumheñ hargiz dekhā nahīñ

    sach mano main ne tumhein dekha nahin

    ek martaba yun hua tha

    ki mayus lamhon mein tumhein aawaz de kar apni taraf mutawajjah karne ki sa'i kar hi raha tha

    ki aahista se aawaz aai

    wo nahin hai yahan pahaDon ki duniya mein apne safar par ja chuka hai

    ab wo yahan nahin hai

    sirf apni parchhain ki aasudgi ko chhoDe

    kisi anjaan jazire ki khoj mein nikal chuka hai

    phir wo kahin se zaKHmi ho kar tumhaare pas aaega

    aur apni aawaz yun buland karega

    kya tum ne mujhe pukara

    tum kahna hargiz nahin

    meri ‘ibaadat kisi bhi khoj ke liye nahin hai

    main mahsus karta hun aksar auqat

    ki mayus lamhe pazhmurda se ho kar

    KHubsurat zaban sunna chahte hain

    lekin meri ‘ibaadat kisi bhi khoj ke liye nahin hai

    chand sal pahle main us bulandi par pahuncha tha

    wahan sirf jangal the aadamiyon ka qaht tha

    main akela tha aur wo kisi KHwab-nak basti mein KHud ko mahsus karne gaya tha

    dar-asl wo apne kiye par pasheman hai

    aur main aazad hun

    ki tum ye sach mano main ne tumhein hargiz dekha nahin

    Source:

    1970 Ki Muntakhab Shairi (Pg. 42)

      • Publisher: P. K. Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now