Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kinara

MORE BYSanjay Solomon

    ne achchhā kiyā mujh se kināra kar ke

    maiñ tujhe yās-o-aziyyat ke sivā kyā detā

    yuuñ to apnā bhī kabhī saath nahīñ de paayā

    phir kisī aur maiñ saath bhalā kyā detā

    ne duniyā ke usūloñ pe chalnā chāhā

    maiñ zamāne ke ishāroñ pe nahīñ chal saktā

    merī to jang hai dariyāoñ ke dhārāoñ se

    Dar ke maujoñ se kināroñ pe nahīñ chal saktā

    merī mahbūb mirī raah meñ kāñTe haiñ bahut

    tere pairoñ ke liye koī sitam Thiik na thā

    chaar pal saath jo guzre haiñ vahī kaafī hai

    umr-bhar saath bitāne bharam Thiik na thā

    ne achchhā kiyā raah badal apnī

    maiñ tire qurb ke qābil to kabhī thā nahīñ

    ham-safar terā maiñ aise meñ kahāñ tak bantā

    maiñ ne apnā to kabhī saath nibhāyā nahīñ

    ne achchhā kiyā mujh se kināra kar ke

    tu ne achchha hi kiya mujh se kinara kar ke

    main tujhe yas-o-aziyyat ke siwa kya deta

    yun to apna bhi kabhi sath nahin de paya

    phir kisi aur ka main sath bhala kya deta

    tu ne duniya ke usulon pe hi chalna chaha

    main zamane ke ishaaron pe nahin chal sakta

    meri to jang hai dariyaon ke dhaaraon se

    Dar ke maujon se kinaron pe nahin chal sakta

    meri mahbub meri rah mein kanTe hain bahut

    tere pairon ke liye koi sitam Thik na tha

    chaar pal sath jo guzre hain wahi kafi hai

    umr-bhar sath bitane ka bharam Thik na tha

    tu ne achchha hi kiya rah badal li apni

    main tere qurb ke qabil to kabhi tha hi nahin

    ham-safar tera main aise mein kahan tak banta

    main ne apna to kabhi sath nibhaya hi nahin

    tu ne achchha hi kiya mujh se kinara kar ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now