aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kiraya-dar

Geetanjali Rai

kiraya-dar

Geetanjali Rai

MORE BYGeetanjali Rai

    are aao

    be-fikr ho ke aao

    merī zindagī meñ

    ghabrāo nahīñ

    koī TūT-phūT nahīñ hogī tum se

    aao to

    dar-asl yahāñ kuchh baaqī nahīñ TūTne ko

    haañ kuchh purāne ḳhvāboñ kircheñ haiñ

    tumhāre aane tak saaf ho jā.eñgī

    us ke ba.ad jo hogā sab tumhārā hogā

    jaate vaqt jo kuchh salāmat bache

    le jaanā

    ḳhvāboñ kircheñ gar rah ga.iiñ tumhāre ba.ad to sameT ke rakh denā mere hoñThoñ pe

    muskurāhaToñ meñ bāñdh ke

    are aao

    be-fikr ho ke aao

    meri zindagi mein

    ghabrao nahin

    koi TuT-phuT nahin hogi tum se

    aao to

    dar-asl yahan kuchh baqi hi nahin TuTne ko

    han kuchh purane KHwabon ki kirchen hain

    tumhaare aane tak saf ho jaengi

    us ke baad jo hoga sab tumhaara hi hoga

    jate waqt jo kuchh salamat bache

    le jaana

    KHwabon ki kirchen gar rah gain tumhaare baad to sameT ke rakh dena mere honThon pe

    muskurahaTon mein bandh ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now