Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisan

Sughra Alam

kisan

Sughra Alam

MORE BYSughra Alam

    safed duudh ujlī kapās is hai

    ye khet us ke haiñ shān-e-libās is hai

    sukūñ niiñd hai maḳhmal ghaas is hai

    ki phuul phuul meñ ḳhushbū hai baas is hai

    mire vatan mire khetoñ shaan kyā kahne

    har ek shahr ko shīr-o-shakar bhī detā hai

    vahī kisān jo ḳhūn-e-jigar bhī detā hai

    amīr-e-shahr ko vo sīm-o-zar bhī detā hai

    ba-nām-e-ḳhosha-e-gandum guhar bhī detā hai

    mire vatan mire khetoñ shaan kyā kahne

    baġhair is ke nahīñ ān-bān dillī

    isī ke naam se baaqī hai shaan dillī

    ye mutma.in na hogā to kaisī shādābī

    har ek samt añdhere tamām be-ḳhvābī

    mire vatan mire khetoñ shaan kyā kahne

    isī ke dam se ubhartī hai hind tasvīr

    isī ke naam sañvartī hai hind taqdīr

    tamām khet haiñ shādāb hind tafsīr

    baġhair is ke nahīñ ḳhvāb-e-hind ta.abīr

    mire vatan mire khetoñ shaan kyā kahne

    bahār is meñ nahīñ hai to phir chaman kyā hai

    ye gulsitāñ nahīñ hai to bāñkpan kyā hai

    jo tarjumāñ na ho is to anjuman kyā hai

    bayāñ isī nahīñ hai to phir suḳhan kyā hai

    mire vatan mire khetoñ shaan kyā kahne

    hukūmateñ bhī isī haiñ raaj bhī is

    adālateñ bhī haiñ ye taḳht-o-tāj bhī is

    har ek daur thā is ye aaj bhī is

    badalte rangoñ se nikhrā samāj bhī is

    mire vatan mire khetoñ shaan kyā kahne

    safed dudh si ujli kapas is ki hai

    ye khet us ke hain shan-e-libas is ki hai

    sukun ki nind hai maKHmal ki ghas is ki hai

    ki phul phul mein KHushbu hai bas is ki hai

    mere watan mere kheton ki shan kya kahne

    har ek shahr ko shir-o-shakar bhi deta hai

    wahi kisan jo KHun-e-jigar bhi deta hai

    amir-e-shahr ko wo sim-o-zar bhi deta hai

    ba-nam-e-KHosha-e-gandum guhar bhi deta hai

    mere watan mere kheton ki shan kya kahne

    baghair is ke nahin aan-ban dilli ki

    isi ke nam se baqi hai shan dilli ki

    ye mutmain hi na hoga to kaisi shadabi

    har ek samt andhere tamam be-KHwabi

    mere watan mere kheton ki shan kya kahne

    isi ke dam se ubharti hai hind ki taswir

    isi ke nam sanwarti hai hind ki taqdir

    tamam khet hain shadab hind ki tafsir

    baghair is ke nahin KHwab-e-hind ki tabir

    mere watan mere kheton ki shan kya kahne

    bahaar is mein nahin hai to phir chaman kya hai

    ye gulsitan hi nahin hai to bankpan kya hai

    jo tarjuman na ho is ki to anjuman kya hai

    bayan isi ka nahin hai to phir suKHan kya hai

    mere watan mere kheton ki shan kya kahne

    hukumaten bhi isi ki hain raj bhi is ka

    adalaten bhi hain ye taKHt-o-taj bhi is ka

    har ek daur tha is ka ye aaj bhi is ka

    badalte rangon se nikhra samaj bhi is ka

    mere watan mere kheton ki shan kya kahne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now