Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ki sada

Ibn-e-Safi

kisi ki sada

Ibn-e-Safi

MORE BYIbn-e-Safi

    raat ke pur-kaif sannāTe meñ bansī sadā

    chāñdnī ke sīm-gūñ shāne pe lahrātī huī

    gūñjtī baḌhtī laraztī kohsāroñ ke qarīb

    phailtī maidāñ meñ pagDanDī pe bal khātī huī

    aa rahī hai is tarah jaise kisī yaad aa.e

    niiñd meñ Duubī huī palkoñ ko uksātī huī

    āsmānoñ meñ zamīñ giit lahrāne lagā

    chhā gayā hai chāñd ke chehre pe ḳhiffat ġhubār

    bazm-e-anjum har ek tanvīr dhundlī ho ga.ī

    rakh diyā nāhīd ne jhuñjhlā ke hāthoñ se sitār

    zarra zarra jhuum kar lene lagā añgḌā.iyāñ

    kahkashāñ takne lagī hairat se sū-e-jū-e-bār

    yuuñ fazāoñ meñ ravāñ hai ye sadā-e-dil-nashīñ

    zehn-e-shā.ir meñ ho jaise ik achhūtā ḳhayāl

    sahar ke sīm-gūñ ruḳhsār par pahlī kiran

    surḳh hoñToñ se bichhā.e jis tarah bosoñ ke jaal

    gaah thamtī gaah sannāTe siina chīrtī

    yuuñ fazā meñ uTh ke ho jaatī hai maddham haa.e haa.e

    shaam dhuñdhlāhaToñ meñ duur koī kārvāñ

    kohsāroñ se utar kar jaise maidānoñ meñ aa.e

    raat ke pur-kaif sannaTe mein bansi ki sada

    chandni ke sim-gun shane pe lahraati hui

    gunjti baDhti larazti kohsaron ke qarib

    phailti maidan mein pagDanDi pe bal khati hui

    aa rahi hai is tarah jaise kisi ki yaad aae

    nind mein Dubi hui palkon ko uksati hui

    aasmanon mein zamin ka git lahrane laga

    chha gaya hai chand ke chehre pe KHiffat ka ghubar

    bazm-e-anjum ki har ek tanwir dhundli ho gai

    rakh diya nahid ne jhunjhla ke hathon se sitar

    zarra zarra jhum kar lene laga angDaiyan

    kahkashan takne lagi hairat se su-e-ju-e-bar

    yun fazaon mein rawan hai ye sada-e-dil-nashin

    zehn-e-shair mein ho jaise ek achhuta sa KHayal

    ya sahar ke sim-gun ruKHsar par pahli kiran

    surKH honTon se bichhae jis tarah boson ke jal

    gah thamti gah sannaTe ka sina chirti

    yun faza mein uTh ke ho jati hai maddham hae hae

    sham ki dhundhlahaTon mein dur koi karwan

    kohsaron se utar kar jaise maidanon mein aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now