kitab-e-zehn
shahr sab jal ga.e
dil bujhā
donoñ āñkhoñ meñ merī dhuāñ bhar gayā
saarā sarmāya merā
asāsa sabhī jal gayā
valvale hausle saare armāñ mire
phir bhī bas ik jagah
ik taraf
'aql ke taaq meñ
ik kitāb-e-zehn
jo dharī kī dharī rah ga.ī
saare alfāz us ke mujhe
lau diye jā.eñge
jab ki jalne ko kuchh bhī nahīñ
raakh ho chukā
shahr sab jal gae
dil bujha
donon aankhon mein meri dhuan bhar gaya
sara sarmaya mera
asasa sabhi jal gaya
walwale hausle sare arman mere
phir bhi bas ek jagah
ek taraf
'aql ke taq mein
ek kitab-e-zehn
jo dhari ki dhari rah gai
sare alfaz us ke mujhe
lau diye jaenge
jab ki jalne ko kuchh bhi nahin
rakh ho chuka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.