Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitab ka kiDa

Aziz Hamid Madni

kitab ka kiDa

Aziz Hamid Madni

MORE BYAziz Hamid Madni

    diq tujh se kitābeñ haiñ bahut karam kitābī

    dushman-e-duzdīda hai ḳhākī ho ki aabī

    alfāz khetī hai faqat terī charā-gāh

    ma.anī zamīñ tere sab sāyoñ ne daabī

    hone ko tirī asl hai sayyād makīñ-gāh

    kahne ko faqat terī haqīqat hai sarābī

    ne to har ik samt lagā.ī haiñ surañgeñ

    pārīna ho farmān kitābeñ huuñ nisābī

    bādāmī ho kāġhaz to mazā aur kuchh hai

    luqma huā tahrīr har maġhz shitābī

    ghun saath gehūñ ke hai pista huā dekhā

    bargashta varaq na sakā tujh pe ḳharābī

    kyā ḳhuub hai ye majlis-e-aurāq-e-kuhan bhī

    vīrān kutub-ḳhānoñ dīmak tirī loby

    firdausī-o-ḳhuldūñ kitābeñ haiñ hirāsāñ

    vo qil.a-e-ma.anī terā hamla hai javābī

    parda hai ḳhamoshī tirī āhañg-e-fanā

    bhauñrā hai faqat kunj-e-gulistāñ rabābī

    chaaT gayā dānish-e-kohna fasīleñ

    buniyād-e-imārat ko hai Dhānā tirī hobby

    a.adād ke qālib meñ hai to sifr tāqat

    safhāt ke sūrāḳh be-nām hisābī

    tārīḳh ke is cell meñ insān ne paa.ī

    ek aadh koī mauj-e-nafs vo bhī habābī

    bikte sar-e-bāzār haiñ mānind-e-zaġhāl aaj

    jo tāza-nafas ḳhvāb-e-taġhayyur the shahābī

    khā jaatī hai ik din use sab gard-e-zamāna

    miTTī vo sahnak ho ki chīnī rakābī

    badlī huī duniyā meñ taġhayyur amal hai

    kirm-e-kitābī nahīñ ik kirm-e-ḳhalal hai

    diq tujh se kitaben hain bahut karam kitabi

    tu dushman-e-duzdida hai KHaki ho ki aabi

    alfaz ki kheti hai faqat teri chara-gah

    mani ki zamin tere sab sayon ne dabi

    hone ko teri asl hai sayyaad makin-gah

    kahne ko faqat teri haqiqat hai sarabi

    tu ne to har ek samt lagai hain surangen

    parina ho farman kitaben hun nisabi

    baadami ho kaghaz to maza aur hi kuchh hai

    luqma hua tahrir ka har maghz shitabi

    ghun sath hi gehun ke hai pista hua dekha

    bargashta waraq la na saka tujh pe KHarabi

    kya KHub hai ye majlis-e-auraq-e-kuhan bhi

    viran kutub-KHanon ki dimak teri loby

    firdausi-o-KHuldun ki kitaben hain hirasan

    wo qila-e-mani tera hamla hai jawabi

    parda hai KHamoshi teri aahang-e-fana ki

    bhaunra hai faqat kunj-e-gulistan ka rababi

    tu chaT gaya danish-e-kohna ki fasilen

    buniyaad-e-imarat ko hai Dhana teri hobby

    aadad ke qalib mein hai to sifr ki taqat

    safhat ke suraKH ka be-nam hisabi

    tariKH ke is cell mein insan ne pai

    ek aadh koi mauj-e-nafs wo bhi hababi

    bikte sar-e-bazar hain manind-e-zaghaal aaj

    jo taza-nafas KHwab-e-taghayyur the shahabi

    kha jati hai ek din use sab gard-e-zamana

    miTTi ki wo sahnak ho ki chini ki rakabi

    badli hui duniya mein taghayyur ka amal hai

    tu kirm-e-kitabi nahin ek kirm-e-KHalal hai

    Source:

    siip (Magzin) (Pg. 154)

    • Author: Nasiim Durraani
      • Edition:  39 (Quarterly)
      • Publisher: Fikr-e-Nau
      • Year of Publication:  39 (Quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now