kitni yaaden purani chali aati hain
raat hote hī jab niile ākāsh meñ
dil kī tanhā.iyāñ jagmagā jaatī haiñ
biite lamhoñ kā jaadū jagāte hue
panchhiyoñ kī qatāreñ guzar jaatī haiñ
kitnī yādeñ purānī chalī aatī haiñ
bārishoñ kī hoñ chāhe vo sargoshiyāñ
yā hoñ vīrān rāhoñ kī ḳhāmoshiyāñ
yā ghane jangaloñ kī hasīñ rāhateñ
duur mujh ko bahut mujh se le jaatī haiñ
kitnī yādeñ purānī chalī aatī haiñ
ḳhvāb aise bhī dil meñ chale aate haiñ
saare ehsās jab yuuñ chaTak jaate haiñ
jaise sūkhe se tālāb kī sat.h par
āḌī-tirchhī darāreñ ubhar aatī haiñ
kitnī yādeñ purānī chalī aatī haiñ
duur mujh se khaḌī ajnabī ajnabī
rūThī rūThī zarā jis ghaḌī zindagī
jab bhī tanhā.ī kā pūchhtī hai sabab
gardisheñ vaqt kī jaise tham jaatī haiñ
kitnī yādeñ purānī chalī aatī haiñ
raat hote hi jab nile aakash mein
dil ki tanhaiyan jagmaga jati hain
bite lamhon ka jadu jagate hue
panchhiyon ki qataren guzar jati hain
kitni yaaden purani chali aati hain
barishon ki hon chahe wo sargoshiyan
ya hon viran rahon ki KHamoshiyan
ya ghane jangalon ki hasin rahaten
dur mujh ko bahut mujh se le jati hain
kitni yaaden purani chali aati hain
KHwab aise bhi dil mein chale aate hain
sare ehsas jab yun chaTak jate hain
jaise sukhe se talab ki sath par
aaDi-tirchhi dararen ubhar aati hain
kitni yaaden purani chali aati hain
dur mujh se khaDi ajnabi ajnabi
ruThi ruThi zara jis ghaDi zindagi
jab bhi tanhai ka puchhti hai sabab
gardishen waqt ki jaise tham jati hain
kitni yaaden purani chali aati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.