koh-e-nida se aage
usī gumbad-e-hasht-pahlū ke aage
vahī ek kīkar kā chhidrā sā peḌ
jahāñ aa ke pahle-pahal meñ rukā thā
vahīñ aa khaḌā huuñ
magar is jharoke kā
jis meñ se ik ḳhūb-sūrat sā chehra
mujhe dekh kar pahle royā thā
aur phir hañsā thā
nishāñ tak nahīñ hai
usi gumbad-e-hasht-pahlu ke aage
wahi ek kikar ka chhidra sa peD
jahan aa ke pahle-pahal mein ruka tha
wahin aa khaDa hun
magar is jharoke ka
jis mein se ek KHub-surat sa chehra
mujhe dekh kar pahle roya tha
aur phir hansa tha
nishan tak nahin hai
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-275 p-263)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.