Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi ojhal duniya hai

Muneer Niyazi

koi ojhal duniya hai

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    lamha lamha roz-marra zindagī ke saath hai

    ek lamha jo kisī aaise jahāñ zindagī haath hai

    jis meñ maiñ rahtā nahīñ jis meñ koī rahtā nahīñ

    jis meñ koī din nahīñ hai raat pahrā nahīñ

    jis meñ suntā nahīñ koī na koī baat hai

    roz-marra zindagī se yuuñ guzartā hai kabhī

    saath le jaatā hai guzrī umr ke hisse kabhī

    jo basar ab tak huā us ko ġhalat kartā huā

    aur ik zindagī se āshnā kartā huā

    jo gumāñ tak meñ na thā us ko dikhā jaatā huā

    vahm tak jis na thā us vaqt ko laatā huā

    phir chalā jaatā hai apne asl ke āsār meñ

    aur ham masrūf ho jaate haiñ phir

    apne roz-o-shab ke kārobār meñ

    lamha lamha roz-marra zindagi ke sath hai

    ek lamha jo kisi aaise jahan ki zindagi ka hath hai

    jis mein main rahta nahin jis mein koi rahta nahin

    jis mein koi din nahin hai raat ka pahra nahin

    jis mein sunta hi nahin koi na koi baat hai

    roz-marra zindagi se yun guzarta hai kabhi

    sath le jata hai guzri umr ke hisse kabhi

    jo basar ab tak hua us ko ghalat karta hua

    aur hi ek zindagi se aashna karta hua

    jo guman tak mein na tha us ko dikha jata hua

    wahm tak jis ka na tha us waqt ko lata hua

    phir chala jata hai apne asl ke aasar mein

    aur hum masruf ho jate hain phir

    apne roz-o-shab ke karobar mein

    Source:

    kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 718)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now