Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi surat aisi

Mohammad Zubair Khalid

koi surat aisi

Mohammad Zubair Khalid

MORE BYMohammad Zubair Khalid

    kitnī tāḳhīr se mahr ubhrā tirī mehr aaj

    ḳhīra āñkhoñ hai majbūrī koī dhuñdlā-pan

    sāmne aa magar dhīmī zarā saañs lau

    aur sulgā de koī biite samay sandal

    phir ḳhamoshī kaThalī meñ sabhī yādeñ uñDel

    saiñt kar dil ke nihāñ-ḳhāne se lā.ūñ maiñ bhī

    dāstāneñ ki jinheñ hoñT na unvān mile

    gūñdh kar arq-e-nadāmat meñ ba-sad-fan-kārī

    un se phir donoñ kashīdeñ koī sūrat aisī

    uñgliyāñ jis pe na uTTheñ haañ nigāheñ uTheñ

    vaqt reg-e-ravāñ jis ko na dhuñdlā paa.e

    jis rūmān na le jaa.e kahīñ maazī meñ

    jis ke maujūd meñ ḳhud ko samoyā jaa.e

    vaqt-e-ā.inda ko bhī jis meñ Duboyā jaa.e

    kitni taKHir se mahr ubhra teri mehr ka aaj

    KHira aankhon ki hai majburi koi dhundla-pan

    samne aa ja magar dhimi zara sans ki lau

    aur sulga de koi bite samay ka sandal

    phir KHamoshi ki kaThali mein sabhi yaaden unDel

    saint kar dil ke nihan-KHane se laun main bhi

    dastanen ki jinhen honT na unwan mile

    gundh kar arq-e-nadamat mein ba-sad-fan-kari

    un se phir donon kashiden koi surat aisi

    ungliyan jis pe na uTThen han nigahen uThen

    waqt ka reg-e-rawan jis ko na dhundla pae

    jis ka ruman na le jae kahin mazi mein

    jis ke maujud hi mein KHud ko samoya jae

    waqt-e-ainda ko bhi jis mein Duboya jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now