Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kora bartan

Noon Meem Danish

kora bartan

Noon Meem Danish

MORE BYNoon Meem Danish

    vo raah chalte hue milī thī

    vo jis ke chashme ke moTe shīshoñ pe zaat ke dukh gard tah

    jamī huī thī

    vo jis ke chehre

    vo jis ke māthe par ik musalsal safar nauha likhā huā thā

    vo jis āñkhoñ meñ

    ratjagoñ azāb-dīda zahar ḳhushbū rachī huī thī

    vo jis bātoñ meñ

    us ke andar zard sannāTā boltā thā

    vo ek laḌkī

    jo korā bartan thī

    jis fāteh us maftūh

    vo korā bartan

    ki jis ko jiine lams dene andhī ḳhvāhish

    hamesha vasl-e-nafī sūrat meñ

    apne fāteh ko mārtī hai

    vo ek laḌkī

    vo ek lamhe meñ raah chalte hue milī thī

    vo zindagī ke tamām barsoñ tamām sāloñ pe chhā ga.ī hai

    wo rah chalte hue mili thi

    wo jis ke chashme ke moTe shishon pe zat ke dukh ki gard ki tah

    jami hui thi

    wo jis ke chehre

    wo jis ke mathe par ek musalsal safar ka nauha likha hua tha

    wo jis ki aankhon mein

    ratjagon ki azab-dida zahar ki KHushbu rachi hui thi

    wo jis ki baaton mein

    us ke andar ka zard sannaTa bolta tha

    wo ek laDki

    jo kora bartan thi

    jis ka fateh hi us ka maftuh

    wo kora bartan

    ki jis ko jine ka lams dene ki andhi KHwahish

    hamesha wasl-e-nafi ki surat mein

    apne fateh ko marti hai

    wo ek laDki

    wo ek lamhe mein rah chalte hue mili thi

    wo zindagi ke tamam barson tamam salon pe chha gai hai

    Source:

    Bache, Titli, Phool (Pg. 74)

    • Author: Noon Meem Danish
      • Publisher: Fazlee sons Pvt. Ltd., Karachi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now