kuchh lamhe
kuchh lamhe
in dard meñ Duubī palkoñ ke sannāTe meñ
kuchh ḳhvāb buno
kuchh lamhe
tum titlī ban kar tanhā.ī ke ġhāroñ meñ
be-bāk uḌo
kuchh lamhe
tum uñglī pakaḌ kar ḳhāmoshī kī pagDanDī par saath chalo
kuchh lamhe
is niilī bārish ke manzar meñ rang bharo
dil chāhtā hai
tum aaj hamāre saath raho
jānāñ merī baat suno
kuchh lamhe
in dard mein Dubi palkon ke sannaTe mein
kuchh KHwab buno
kuchh lamhe
tum titli ban kar tanhai ke ghaaron mein
be-bak uDo
kuchh lamhe
tum ungli pakaD kar KHamoshi ki pagDanDi par sath chalo
kuchh lamhe
is nili barish ke manzar mein rang bharo
dil chahta hai
tum aaj hamare sath raho
jaanan meri baat suno
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.