Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh nahin badalne wala

Madhav Awana

kuchh nahin badalne wala

Madhav Awana

MORE BYMadhav Awana

    phir vahī māhaul vahī shor-sharāba

    vahī kuchh na.e purāne chehroñ bol-bālā

    phir se saj ga.ī tabdīliyoñ manDiyāñ

    par asl meñ kuchh nahīñ badalne vaalā

    phir chīḳhte phir rahe bad-havās chehre

    phir rache jāneñ lageñ haiñ saDyantr gahre

    phir se gūñjne lageñ haiñ fazāoñ meñ na.are

    pichhlaggū ban ga.e haiñ kuchh bhuuk ke maare

    phir se ye batā.ī jaane lagī badlāv bāteñ

    phir se kursī qabzāne ko hone lagīñ haiñ ghāteñ

    phir se aa gayā hai chunāv mausam pāñch-sāla

    par asl meñ kuchh nahīñ badalne vaalā

    kuchh aa jā.eñge chehre na.e purāne

    ban ke rahnumā lag jā.eñge desh ko khāne

    phir shurūa hogā aam aadmī taqdīr se khel

    phir bhejā jā.egā kuchh haare huoñ ko jail

    phir se nayāy Dhoñg rachāyā jā.egā

    aadmī ko roTī ke va.ade se bahlāyā jā.egā

    phir se hogā lūT-khasūT nañgā naach

    phir jhūTh ko batāyā jā.egā sāñch

    mujhe jalā.egī mere andar aañch

    aur TūTte sapne chubheñge ban ke kāñch

    phir se zindagī bunñe lagegī makaḌ-jālā

    maiñ jāntā huuñ ki kuchh nahīñ badalne vaalā

    phir wahi mahaul wahi shor-sharaba

    wahi kuchh nae purane chehron ka bol-baala

    phir se saj gai tabdiliyon ki manDiyan

    par asl mein kuchh nahin badalne wala

    phir chiKHte phir rahe bad-hawas chehre

    phir rache jaanen lagen hain saDyantr gahre

    phir se gunjne lagen hain fazaon mein nare

    pichhlaggu ban gae hain kuchh bhuk ke mare

    phir se ye batai jaane lagi badlaw ki baaten

    phir se kursi qabzane ko hone lagin hain ghaten

    phir se aa gaya hai chunaw ka mausam panch-sala

    par asl mein kuchh nahin badalne wala

    kuchh aa jaenge chehre nae purane

    ban ke rahnuma lag jaenge desh ko khane

    phir shurua hoga aam aadmi ki taqdir se khel

    phir bheja jaega kuchh haare huon ko jail

    phir se nayay ka Dhong rachaya jaega

    aadmi ko roTi ke wade se bahlaya jaega

    phir se hoga luT-khasuT ka nanga nach

    phir jhuTh ko bataya jaega sanch

    mujhe jalaegi mere andar ki aanch

    aur TuTte sapne chubhenge ban ke kanch

    phir se zindagi bunne lagegi makaD-jala

    main jaanta hun ki kuchh nahin badalne wala

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now