Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kunj-e-mohabbat

Khalilur Rahman Azmi

kunj-e-mohabbat

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    ye sunsān rāteñ ye ThanDī havā.eñ ye phailī huī terī yādoñ ḳhushbū

    ye chup-chāp se peḌ ye ġham ke saa.e ye dil kasak ye mohabbat jaadū

    ye sab jāgte haiñ ye sab sochte haiñ ye sab karvaTeñ le ke haiñ aah bharte

    na.ī manziloñ se na.e rāstoñ se na.e moḌ se sab ke sab haiñ guzarte

    har ik moḌ par jaise koī khaḌā ho ishāroñ ishāroñ meñ kuchh kah rahā ho

    samajh meñ na aa.e koī baat us magar jaise chashma ik bah rahā ho

    koī jaise mīThe madhur giit ke bol maddham suroñ meñ yuñhī gungunā.e

    koī jaise tūfāñ dabā.e ho dil meñ kisī se magar phir bhī kuchh kah na paa.e

    kuchh alfāz aise jo yuuñ dekhne meñ purāne se haiñ aur kitne insāñ

    inhīñ ke sahāre se kahte rahe haiñ diloñ murādeñ javānī ke armāñ

    ye armān ye ārzūeñ hamārī ye kuchh rasmasāte hue phuul jaise

    jagā.eñ jinheñ aa ke jhoñke havā ke jinheñ gudgudā jaa.eñ aa aa ke bhauñre

    ḳhizāñ havāoñ ke chalne se pahle Tapakte hue phuul ke ras meñ Duubā

    koī giit bun liyā hai bahāroñ ne gaate haiñ ab bhī jise bāġh-o-sahrā

    jo kunj-e-mohabbat meñ peḌoñ chhantī huī chāñdnī zabāñ se hai kahtā

    kaho aaj raat kaisī guzārī koī raat raat milne bhī aayā

    ye sunsan raaten ye ThanDi hawaen ye phaili hui teri yaadon ki KHushbu

    ye chup-chap se peD ye gham ke sae ye dil ki kasak ye mohabbat ka jadu

    ye sab jagte hain ye sab sochte hain ye sab karwaTen le ke hain aah bharte

    nai manzilon se nae raston se nae moD se sab ke sab hain guzarte

    har ek moD par jaise koi khaDa ho ishaaron ishaaron mein kuchh kah raha ho

    samajh mein na aae koi baat us ki magar jaise chashma sa ek bah raha ho

    koi jaise miThe madhur git ke bol maddham suron mein yunhi gungunae

    koi jaise tufan dabae ho dil mein kisi se magar phir bhi kuchh kah na pae

    kuchh alfaz aise jo yun dekhne mein purane se hain aur kitne hi insan

    inhin ke sahaare se kahte rahe hain dilon ki muraden jawani ke arman

    ye arman ye aarzuen hamari ye kuchh rasmasate hue phul jaise

    jagaen jinhen aa ke jhonke hawa ke jinhen gudguda jaen aa aa ke bhaunre

    KHizan ki hawaon ke chalne se pahle Tapakte hue phul ke ras mein Duba

    koi git sa bun liya hai bahaaron ne gate hain ab bhi jise bagh-o-sahra

    jo kunj-e-mohabbat mein peDon ki chhanti hui chandni ki zaban se hai kahta

    kaho aaj ki raat kaisi guzari koi raat ki raat milne bhi aaya

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 141)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now