Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kursi

Khalid Irfan

kursi

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    siyāsiyāt meñ ūñchā hai naam kursī

    kiyā hai maiñ ne bahut ehtirām kursī

    ghasīTā apnī taraf intizām kursī

    ye merā kaam thā baaqī hai kaam kursī

    ye gol mez se kahtī hai ab ki to kyā hai

    chair ke sāmne sofe aabrū kyā hai

    koī clerk koī manager kursī hai

    jahāñ hai nurse vahīñ doctor kursī hai

    jo ek Taañg TuuTī kamar kursī hai

    vo mere shahr ke ik counselor kursī hai

    briādrī badaulat amiin haiñ mausūf

    pachās saal se kursī-nashīn haiñ mausūf

    chair pe baiTh ke saare shaan vaale haiñ

    jo par kaTe the vo ūñchī uḌaan vaale haiñ

    jo be-makān the das das makān vaale haiñ

    vo sirf paan nahīñ pandān vaale haiñ

    ajiib rasm chalī hai ki is zamāne meñ

    avaam dhuup meñ kursī hai shāmiyāne meñ

    mushā.ere meñ bhī aksar uchhal ga.ī kursī

    ġhazal ke chalne se pahle chal ga.ī kursī

    har ek mez se aage nikal ga.ī kursī

    badal ga.e rufaqā jab badal ga.ī kursī

    harām maal se jaa.ez kamā.ī behtar hai

    na.ī chair se purānī tipā.ī behtar hai

    usī zikr basoñ meñ bhī baat baat pe hai

    tamām rail meñ jhagḌā isī zaat pe hai

    yahī savār arākīn-e-baldiyāt pe hai

    isī hukm qalam par kabhī davāt pe hai

    mushā.ere meñ bhī jhagḌā isī ibārat

    kabhī maqām kabhī kursī-e-sadārat

    banī thī kursī jo ik head-master ke liye

    janāb-e-head use le ga.e haiñ ghar ke liye

    banā diyā jinheñ kursī ne umr bhar ke liye

    chair hai un ke liye vo nahīñ chair ke liye

    amānatan jo chair par biThā.e jaate haiñ

    vo log ḳhuud nahīñ uThte uThā.e jaate haiñ

    kuchh is adā se ye dilkash sifāt chaltī hai

    kisī ra.iis goyā barāt chaltī hai

    jahāñ bhī jaao yahī saath saath chaltī hai

    chipak ke jaise sharīk-e-hayāt chaltī hai

    ye zā.iqa bhī ajab hai ki chakh nahīñ sakte

    ham is god meñ tashrīf rakh nahīñ sakte

    siyasiyat mein uncha hai nam kursi ka

    kiya hai main ne bahut ehtiram kursi ka

    ghasiTa apni taraf intizam kursi ka

    ye mera kaam tha baqi hai kaam kursi ka

    ye gol mez se kahti hai ab ki to kya hai

    chair ke samne sofe ki aabru kya hai

    koi clerk koi manager ki kursi hai

    jahan hai nurse wahin doctor ki kursi hai

    jo ek Tang ki TuTi kamar ki kursi hai

    wo mere shahr ke ek counselor ki kursi hai

    briadri ki badaulat amin hain mausuf

    pachas sal se kursi-nashin hain mausuf

    chair pe baiTh ke sare hi shan wale hain

    jo par kaTe the wo unchi uDan wale hain

    jo be-makan the das das makan wale hain

    wo sirf pan nahin pandan wale hain

    ajib rasm chali hai ki is zamane mein

    awam dhup mein kursi hai shamiyane mein

    mushaere mein bhi aksar uchhal gai kursi

    ghazal ke chalne se pahle hi chal gai kursi

    har ek mez se aage nikal gai kursi

    badal gae rufaqa jab badal gai kursi

    haram mal se jaez kamai behtar hai

    nai chair se purani tipai behtar hai

    usi ka zikr bason mein bhi baat baat pe hai

    tamam rail mein jhagDa isi ki zat pe hai

    yahi sawar arakin-e-baldiyat pe hai

    isi ka hukm qalam par kabhi dawat pe hai

    mushaere mein bhi jhagDa isi ibarat ka

    kabhi maqam kabhi kursi-e-sadarat ka

    bani thi kursi jo ek head-master ke liye

    janab-e-head use le gae hain ghar ke liye

    bana diya jinhen kursi ne umr bhar ke liye

    chair hai un ke liye wo nahin chair ke liye

    amanatan jo chair par biThae jate hain

    wo log KHud nahin uThte uThae jate hain

    kuchh is ada se ye dilkash sifat chalti hai

    kisi rais ki goya baraat chalti hai

    jahan bhi jao yahi sath sath chalti hai

    chipak ke jaise sharik-e-hayat chalti hai

    ye zaiqa bhi ajab hai ki chakh nahin sakte

    hum is ki god mein tashrif rakh nahin sakte

    Source:

    No Problem (Pg. 61)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now