Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kaha akeli kar jati hun

Ghulam Fatima Mahru

kya kaha akeli kar jati hun

Ghulam Fatima Mahru

MORE BYGhulam Fatima Mahru

    achchhā

    chalo chhoḌo tum batāo kab ke nikle kab aa.e

    tum to baḌe pakke ho kyā kahā haañ vahī dhun ke

    yahī matlab achchhā ma.anī to vaise bhī sab ke apne haiñ

    ajī dil chhoḌo chhoḌ do

    sub.h ga.e shaam to aatī nahīñ raat to tumhārī apne naam kaam hai

    kaun jaane kise akelā kar saath nibhāne jaate ho

    haañ yahāñ nahīñ to yahāñ kise zarūrat na tumhārī na raat

    vo kyā hai ki bas shaam aas zarā TuuT jaatī hai

    ghaḌī aise jaise āvāzoñ ke dhakkoñ se chaltī ho

    lo bhalā tum batāo kaun diye jalāne baiThe

    aur phir havāoñ se unheñ bachātā phire

    tum bhī to nahīñ hote

    varna ek hathelī tumhārī hotī to maiñ thaktī na

    bas jiye jaatī

    chāhe ghaḌī Tik-Tik jaisī

    phir vaisī jaisī tumhārī nazroñ ke sāmne rahne vāliyāñ jiitī haiñ

    nahīñ ḳhudārā ye ilzām nahīñ ye ajab girah hai

    tum kholo to khul jaa.e

    khol kar dekhnā

    achchha

    chalo chhoDo tum batao kab ke nikle kab aae

    tum to baDe pakke ho kya kaha han wahi dhun ke

    yahi matlab achchha mani to waise bhi sab ke apne hain

    aji dil ki chhoDo chhoD hi do na

    subh gae sham to aati hi nahin raat to tumhaari apne nam kaam ki hai

    kaun jaane kise akela pa kar sath nibhane jate ho

    han yahan nahin to yahan kise zarurat na tumhaari na raat ki

    wo kya hai ki bas sham ki aas zara TuT jati hai

    ghaDi aise jaise aawazon ke dhakkon se chalti ho

    lo bhala tum hi batao kaun diye jalane baiThe

    aur phir hawaon se unhen bachata phire

    tum bhi to nahin hote

    warna ek hatheli tumhaari hoti to main thakti na

    bas jiye jati

    chahe ghaDi ki Tik-Tik jaisi

    ya phir waisi jaisi tumhaari nazron ke samne rahne waliyan jiti hain

    nahin KHudara ye ilzam nahin ye ajab girah hai

    tum kholo to khul jae

    khol kar dekhna

    Source:

    Tasteer (Pg. 426)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now