lafz
lafz bahut chhoTe hote haiñ
lekin un se ik aisā nanhā-munnā sā ghar to banāyā jā saktā hai
jo ham donoñ ke basne ko kaafī ho
lafz bahut bikhre hote haiñ
lekin un ko joḌ ke ek khilaunā to ban saktā hai
jo ik bhūke bachche ko bahlā hī sake
lafz bahut thoḌe hote haiñ
lekin un ko joḌ baTor ke
ik aisī chhoTī sī arāzī to ḳharīdī jā saktī hai
jis meñ sunahrī ḳhvāb hī kāsht kiye jaa.eñ
lafz bahut mahñge hote haiñ
lekin un ko kāT-kūT kar qistoñ par ik baajā to aa saktā hai
lafz to bā-barkat hote haiñ
dargāhoñ kī shāmoñ jaise
mallāhoñ ke gītoñ jaise
dahqānoñ ke hāthoñ jaise
maañ kī nek du'āoñ jaise
bachchoñ kī āvāzoñ jaise
lafz bahut chhoTe hote hain
lekin un se ek aisa nanha-munna sa ghar to banaya ja sakta hai
jo hum donon ke basne ko kafi ho
lafz bahut bikhre hote hain
lekin un ko joD ke ek khilauna to ban sakta hai
jo ek bhuke bachche ko bahla hi sake
lafz bahut thoDe hote hain
lekin un ko joD baTor ke
ek aisi chhoTi si araazi to KHaridi ja sakti hai
jis mein sunahri KHwab hi kasht kiye jaen
lafz bahut mahnge hote hain
lekin un ko kaT-kuT kar qiston par ek baja to aa sakta hai
lafz to ba-barkat hote hain
dargahon ki shamon jaise
mallahon ke giton jaise
dahqanon ke hathon jaise
man ki nek du'aon jaise
bachchon ki aawazon jaise
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 112)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.