Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz

MORE BYEjaz Farooqi

    lafz taqdīr mirī

    husn bhī lafz meñ hai

    ishq bhī lafz meñ hai

    adl bhī lafz meñ hai

    lafz meñ sāz-e-azal

    lafz meñ rāz-e-abad

    lafz māmūra-e-ḳhushbū

    lafz ik qaus-e-quzah

    lafz bādal ḳhirām

    lafz dariyā ravānī

    lafz meñ rif.at-e-koh

    lafz meñ vus.at-e-sahrā

    lafz miTTī numū

    lafz meñ chāñd mehvar

    lafz meñ matl.a-e-ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ

    lafz nairañg-e-ayyām dhaḌkan

    lafz hairat-kada-e-kaun-o-makāñ

    lafz meñ vaqt raftār chaap

    jism ramz shanāsā bhī hai lafz

    lafz meñ aañkh nuur

    lafz āvāz ruup

    lafz zulf-e-dotā

    lafz rū-e-munavvar

    lafz shīrīnī-e-lab

    lafz andāz-e-junūñ

    lafz ruuh dāna-e-subul

    lafz hai us jamāl

    lafz hai us jalāl

    lafz maujūd bhī hai ġhaib bhī hai

    lafz hai hāmil-e-asrār-o-rumūz

    lafz namrūd ātish meñ gul-afshāñ

    lafz se vādī-e-sīnā bhī huī buq.a-e-nūr

    yad-e-baizā bhī hai lafz

    dam-e-īsā bhī hai lafz

    lafz shaqq-e-qamar

    lafz burrāq hai me.arāj shab

    lafz rūh-e-amīñ

    2

    maiñ bhī ik lafz thā

    magar ab bikhrā huā harfoñ meñ

    harf-e-zulmāt meñ mahsūr hue

    muntazir huuñ

    dam-e-īsā

    yad-e-baizā

    in ko phir lafz banā de

    lafz taqdir meri

    husn bhi lafz mein hai

    ishq bhi lafz mein hai

    adl bhi lafz mein hai

    lafz mein saz-e-azal

    lafz mein raaz-e-abad

    lafz mamura-e-KHushbu

    lafz ek qaus-e-quzah

    lafz baadal ka KHiram

    lafz dariya ki rawani

    lafz mein rifat-e-koh

    lafz mein wusat-e-sahra

    lafz miTTi ka numu

    lafz mein chand ka mehwar

    lafz mein matla-e-KHurshid-e-daraKHshan

    lafz nairang-e-ayyam ki dhaDkan

    lafz hairat-kada-e-kaun-o-makan

    lafz mein waqt ki raftar ki chap

    jism ka ramz shanasa bhi hai lafz

    lafz mein aankh ka nur

    lafz aawaz ka rup

    lafz hi zulf-e-dota

    lafz hi ru-e-munawwar

    lafz shirini-e-lab

    lafz andaz-e-junun

    lafz hi ruh ka dana-e-subul

    lafz hai us ka jamal

    lafz hai us ka jalal

    lafz maujud bhi hai ghaib bhi hai

    lafz hai hamil-e-asrar-o-rumuz

    lafz namrud ki aatish mein gul-afshan

    lafz se wadi-e-sina bhi hui buqa-e-nur

    yad-e-baiza bhi hai lafz

    dam-e-isa bhi hai lafz

    lafz hi shaqq-e-qamar

    lafz burraq hai mearaj ki shab

    lafz hi ruh-e-amin

    2

    main bhi ek lafz hi tha

    magar ab bikhra hua harfon mein

    harf-e-zulmat mein mahsur hue

    muntazir hun

    dam-e-isa

    yad-e-baiza

    in ko phir lafz bana de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now