Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz likhna bhul jata hun

Mahmood Sana

lafz likhna bhul jata hun

Mahmood Sana

MORE BYMahmood Sana

    mujhe uḌte parinde achchhe lagte haiñ

    mujhe un uḌānoñ se

    na.e aate hue sab mausamoñ āhaTeñ mahsūs hotī haiñ

    mujhe un uḌāneñ

    bārisheñ aur phuul khilne bashārat dene aatī haiñ

    mujhe un uḌāneñ

    zindagī ke rāstoñ par hausloñ dars detī haiñ

    mire hāthoñ ne harfoñ ke gulāboñ ko

    inhī se likhnā sīkhā hai

    magar hijrat-zada mausam meñ

    jab koī akelī kuuñj kar laatī huī

    niile falak vus.atoñ meñ apne kho.e sāthiyoñ ko

    DhūñDhtī āvāz detī hai

    mujhe bichhḌe hue sab yaad aate haiñ

    mire hāthoñ poreñ lafz likhnā bhuul jaatī haiñ

    zamīñ par bārisheñ

    aur sard yaḳh-basta badan ko chīrtī barham havā.eñ

    sabz peḌoñ meñ ghire ābād ghar rāsta rokeñ

    maiñ tanhā baiTh kar

    bhīge parindoñ ke paroñ ke

    ḳhushk hone duā.eñ māñgtā huuñ!

    mujhe uDte parinde achchhe lagte hain

    mujhe un ki uDanon se

    nae aate hue sab mausamon ki aahaTen mahsus hoti hain

    mujhe un ki uDanen

    barishen aur phul khilne ki bashaarat dene aati hain

    mujhe un ki uDanen

    zindagi ke raston par hauslon ka dars deti hain

    mere hathon ne harfon ke gulabon ko

    inhi se likhna sikha hai

    magar hijrat-zada mausam mein

    jab koi akeli kunj kar lati hui

    nile falak ki wusaton mein apne khoe sathiyon ko

    DhunDhti aawaz deti hai

    mujhe bichhDe hue sab yaad aate hain

    mere hathon ki poren lafz likhna bhul jati hain

    zamin par barishen

    aur sard yaKH-basta badan ko chirti barham hawaen

    sabz peDon mein ghire aabaad ghar ka rasta roken

    main tanha baiTh kar

    bhige parindon ke paron ke

    KHushk hone ki duaen mangta hun!

    Source:

    Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 367)

    • Author: Naseer Ahmed Nasir
      • Edition: Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
      • Publisher: H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi
      • Year of Publication: Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now