Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz to banjh hain

Shaista Mufti

lafz to banjh hain

Shaista Mufti

MORE BYShaista Mufti

    lafz to bāñjh haiñ jazboñ qadr kyā jāneñ

    zindagī baar chuke hoñ to qahr kyā jāneñ

    apne ma.asūm gulāboñ se hasīñ bachchoñ

    ek khoī huī muskān pe kuchh likhnā hai

    un be-jān nigāhoñ pe mujhe kahnā hai

    lafz to bāñjh haiñ qirtās ke ā.īne haiñ

    lafz ziist unvān haiñ sarmāya haiñ

    phir bhī jazbāt ke akkās nahīñ ho sakte

    ḳhauf ke shahr meñ ehsās nahīñ ho sakte

    nauha-e-ġham bhī to ehsās jaulānī hai

    haa.e ai dil ki yahāñ ḳhauf vīrānī hai

    muntazir maañ jo khaḌī hai ki bahut der huī

    mere ghar-bār raunaq nahīñ aayā ab tak

    lafz meñ DhūñD rahī huuñ ki use kaise kahūñ

    terā ma.asūm shahīdoñ meñ likhā aayā

    naam apnā jo bahut pyaar se rakhā ne

    TuuT kar duur kahīñ ke ki girā hai vo shajar

    jis ko din-rāt mohabbat se sañvārā ne

    lafz to bāñjh haiñ jazbāt nahīñ kah sakte

    vaqt ke vaar ko us paar nahīñ sah sakte

    lafz to banjh hain jazbon ki qadr kya jaanen

    zindagi bar chuke hon to qahr kya jaanen

    apne masum gulabon se hasin bachchon ki

    ek khoi hui muskan pe kuchh likhna hai

    un ki be-jaan nigahon pe mujhe kahna hai

    lafz to banjh hain qirtas ke aaine hain

    lafz zist ka unwan hain sarmaya hain

    phir bhi jazbaat ke akkas nahin ho sakte

    KHauf ke shahr mein ehsas nahin ho sakte

    nauha-e-gham bhi to ehsas ki jaulani hai

    hae ai dil ki yahan KHauf ki virani hai

    muntazir man jo khaDi hai ki bahut der hui

    mere ghar-bar ki raunaq nahin aaya ab tak

    lafz mein DhunD rahi hun ki use kaise kahun

    tera masum shahidon mein likha aaya

    nam apna jo bahut pyar se rakha tu ne

    TuT kar dur kahin ja ke ki gira hai wo shajar

    jis ko din-raat mohabbat se sanwara tu ne

    lafz to banjh hain jazbaat nahin kah sakte

    waqt ke war ko us par nahin sah sakte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now