Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu bolta hai 3

Satyapal Anand

lahu bolta hai 3

Satyapal Anand

MORE BYSatyapal Anand

    maiñ sochtā huuñ

    ki mere tan ye nichlā hissa

    jo ma.asiyat ke muhīb ġhāroñ meñ gir gayā thā

    jise koī dev ain ahd-e-shabāb meñ

    apne ġhaar tīrgī meñ mahbūs kar gayā thā

    jise gunah ghanā añdherā

    ḳhud apne ḳhuuñ meñ umaDtī ātish raqs

    gardish shor-o-ġhauġhā

    vo ishq-e-pechāñ bel jise gaThe hue ḳhvāb

    qahva rañgat gudāz ko lahū ke

    lams abreshmī mulā.em bhare bhare se gulābī hoñToñ

    lazzateñ lahr lahr ban kar ubhartī jhāgoñ

    andhī khā.iyoñ meñ Duub jaane ḳhvāhisheñ

    aks jhālroñ ke

    havas bārish ke garm chhīñTe

    vasīle jismoñ ke qurb ke imbisāt tan ke

    bahut satāte the achchhe lagte the

    main sochta hun

    ki mere tan ka ye nichla hissa

    jo masiyat ke muhib ghaaron mein gir gaya tha

    jise koi dew ain ahd-e-shabab mein

    apne ghaar ki tirgi mein mahbus kar gaya tha

    jise gunah ka ghana andhera

    KHud apne KHun mein umaDti aatish ka raqs

    gardish ka shor-o-ghaugha

    wo ishq-e-pechan ki bel jise gaThe hue KHwab

    qahwa rangat gudaz ko lahu ke

    lams abreshmi mulaem bhare bhare se gulabi honTon ka

    lazzaten lahr lahr ban kar ubharti jhagon ki

    andhi khaiyon mein Dub jaane ki KHwahishen

    aks jhaalron ke

    hawas ki barish ke garm chhinTe

    wasile jismon ke qurb ke imbisat tan ke

    bahut satate the achchhe lagte the

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 515)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now