Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu ka Tika

Muslim Shameem

lahu ka Tika

Muslim Shameem

MORE BYMuslim Shameem

    ye ūñch-nīch ye nafrat ye jehl ye iflās

    zamīñ pe kis ne lagā.e ye zahr ke paude

    ki jin ke saa.e meñ insāniyat sisaktī hai

    ki jin chhāñv meñ hote haiñ maut ke saude

    fareb-o-kizb ke sar par hai tāj-e-zar-afshāñ

    sadāqatoñ jabīñ par lahū Tiikā hai

    pinhā ke zulm ko kis ne labāda-e-taqdīs

    guloñ ke naam pe sadiyoñ chaman ko luuTā hai

    sanā-e-jabr-o-sitam hai adab shah-pāra

    ḳhulūs-e-fikr-o-nazar aib hai fasāne meñ

    haqīqatoñ bayāñ hai baġhāvat-e-ehsās

    usuul sab se baḌā jurm hai zamāne meñ

    shikast-e-dil ko samajhte haiñ ishq azmat

    in āñsūoñ se charāġhoñ kaam lete haiñ

    dukhoñ ke shahr meñ be-kaif hañsī ke liye

    ham apne zehn ko pahroñ fareb dete haiñ

    bhaTakte rahte haiñ ehsās ke bayābāñ meñ

    zamīr-e-fan ko siyah naag Daste rahte haiñ

    nazar se ahl-e-zamāna ho ke poshīda

    ham apnī fikr ke sho.aloñ meñ aap jalte haiñ

    ye unch-nich ye nafrat ye jehl ye iflas

    zamin pe kis ne lagae ye zahr ke paude

    ki jin ke sae mein insaniyat sisakti hai

    ki jin ki chhanw mein hote hain maut ke saude

    fareb-o-kizb ke sar par hai taj-e-zar-afshan

    sadaqaton ki jabin par lahu ka Tika hai

    pinha ke zulm ko kis ne labaada-e-taqdis

    gulon ke nam pe sadiyon chaman ko luTa hai

    sana-e-jabr-o-sitam hai adab ka shah-para

    KHulus-e-fikr-o-nazar aib hai fasane mein

    haqiqaton ka bayan hai baghawat-e-ehsas

    usul sab se baDa jurm hai zamane mein

    shikast-e-dil ko samajhte hain ishq ki azmat

    in aansuon se charaghon ka kaam lete hain

    dukhon ke shahr mein be-kaif si hansi ke liye

    hum apne zehn ko pahron fareb dete hain

    bhaTakte rahte hain ehsas ke bayaban mein

    zamir-e-fan ko siyah nag Daste rahte hain

    nazar se ahl-e-zamana ki ho ke poshida

    hum apni fikr ke shoalon mein aap jalte hain

    Source:

    (Pg. 93)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now