Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lenin

Allama Iqbal

lenin

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    KHudaa ke huzuur me.n

    ai anfus o āfāq meñ paidā tirī āyāt

    haq ye hai ki hai zinda o pā.inda tirī zaat

    maiñ kaise samajhtā ki hai ki nahīñ hai

    har dam mutaġhayyar the ḳhirad ke nazriyāt

    mahram nahīñ fitrat ke surūd-e-azlī se

    bīnā-e-kavākib ho ki dānā-e-nabātāt

    aaj aañkh ne dekhā to vo 'ālam huā sābit

    maiñ jis ko samajhtā thā kalīsā ke ḳhurāfāt

    ham band-e-shab-o-roz meñ jakḌe hue bande

    ḳhāliq-e-āsār-o-nigāranda-e-ānāt

    ik baat agar mujh ko ijāzat ho to pūchhūñ

    hal kar na sake jis ko hakīmoñ ke maqālāt

    jab tak maiñ jiyā ḳhema-e-aflāk ke nīche

    kāñTe tarah dil meñ khaTaktī rahī ye baat

    guftār ke uslūb pe qaabū nahīñ rahtā

    jab ruuh ke andar mutalātum hoñ ḳhayālāt

    vo kaun aadam hai ki jis hai mā'būd

    vo ādam-e-ḳhākī ki jo hai zer-e-samāvāt

    mashriq ke ḳhudāvand safedān-e-rañgī

    maġhrib ke ḳhudāvand daraḳhshanda filizzāt

    europe meñ bahut raushni-e-ilm-o-hunar hai

    haq ye hai ki be-chashma-e-haivāñ hai ye zulmāt

    rāñā.i-e-tāmīr meñ raunaq meñ safā meñ

    girjoñ se kahīñ baḌh ke haiñ bankoñ imārāt

    zāhir meñ tijārat hai haqīqat meñ juā hai

    suud ek lākhoñ ke liye marg-e-mufājāt

    ye 'ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukūmat

    piite haiñ lahū dete haiñ tālīm-e-musāvāt

    bekārī o 'uryānī o mai-ḳhvārī o iflās

    kyā kam haiñ farañgī madniyat futūhāt

    vo qaum ki faizān-e-samāvī se ho mahrūm

    had us ke kamālāt hai barq o buḳhārāt

    hai dil ke liye maut mashīnoñ hukūmat

    ehsās-e-muravvat ko kuchal dete haiñ ālāt

    āsār to kuchh kuchh nazar aate haiñ ki āḳhir

    tadbīr ko taqdīr ke shātir ne kiyā maat

    mai-ḳhāna buniyād meñ aayā hai tazalzul

    baiThe haiñ isī fikr meñ pīrān-e-ḳharābāt

    chehroñ pe jo surḳhī nazar aatī hai sar-e-shām

    ġhāza hai sāġhar o miinā karāmāt

    qādir o 'ādil hai magar tere jahāñ meñ

    haiñ talḳh bahut banda-e-mazdūr ke auqāt

    kab Dūbegā sarmāya-parastī safīna

    duniyā hai tirī muntazir-e-roz-e-mukāfāt

    ai anfus o aafaq mein paida teri aayat

    haq ye hai ki hai zinda o painda teri zat

    main kaise samajhta ki tu hai ya ki nahin hai

    har dam mutaghayyar the KHirad ke nazriyat

    mahram nahin fitrat ke surud-e-azli se

    bina-e-kawakib ho ki dana-e-nabaatat

    aaj aankh ne dekha to wo 'alam hua sabit

    main jis ko samajhta tha kalisa ke KHurafat

    hum band-e-shab-o-roz mein jakDe hue bande

    tu KHaliq-e-asar-o-nigaranda-e-anat

    ek baat agar mujh ko ijazat ho to puchhun

    hal kar na sake jis ko hakimon ke maqalat

    jab tak main jiya KHema-e-aflak ke niche

    kanTe ki tarah dil mein khaTakti rahi ye baat

    guftar ke uslub pe qabu nahin rahta

    jab ruh ke andar mutalatum hon KHayalat

    wo kaun sa aadam hai ki tu jis ka hai ma'bud

    wo aadam-e-KHaki ki jo hai zer-e-samawat

    mashriq ke KHudawand safedan-e-rangi

    maghrib ke KHudawand daraKHshanda filizzat

    europe mein bahut raushni-e-ilm-o-hunar hai

    haq ye hai ki be-chashma-e-haiwan hai ye zulmat

    ranai-e-tamir mein raunaq mein safa mein

    girjon se kahin baDh ke hain bankon ki imaraat

    zahir mein tijarat hai haqiqat mein jua hai

    sud ek ka lakhon ke liye marg-e-mufajat

    ye 'ilm ye hikmat ye tadabbur ye hukumat

    pite hain lahu dete hain talim-e-musawat

    bekari o 'uryani o mai-KHwari o iflas

    kya kam hain farangi madniyat ki futuhat

    wo qaum ki faizan-e-samawi se ho mahrum

    had us ke kamalat ki hai barq o buKHaraat

    hai dil ke liye maut mashinon ki hukumat

    ehsas-e-murawwat ko kuchal dete hain aalat

    aasar to kuchh kuchh nazar aate hain ki aaKHir

    tadbir ko taqdir ke shatir ne kiya mat

    mai-KHana ki buniyaad mein aaya hai tazalzul

    baiThe hain isi fikr mein piran-e-KHarabaat

    chehron pe jo surKHi nazar aati hai sar-e-sham

    ya ghaza hai ya saghar o mina ki karamat

    tu qadir o 'adil hai magar tere jahan mein

    hain talKH bahut banda-e-mazdur ke auqat

    kab Dubega sarmaya-parasti ka safina

    duniya hai teri muntazir-e-roz-e-mukafat

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Zulfiqar Ali Bukhari

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    lenin Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now