Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

leo tolstoy

Prem Lal Shifa Dehlvi

leo tolstoy

Prem Lal Shifa Dehlvi

MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi

    hai jo rāh-e-zindagī meñ pech-o-ḳham ik maqām

    imārat meñ hai jo jāh-o-hasham ik maqām

    muflisī meñ hai jo fikr-o-ranj-o-ġham ik maqām

    hai tamaddun meñ vahī ahl-e-qalam ik maqām

    ye badal dete haiñ dil dhaḌkanoñ ko pyaar se

    kam nahīñ hotā qalam zor kuchh talvār se

    hote haiñ ahl-e-qalam mulk-o-millat nishāñ

    daur-e-māzī ke tamaddun yahī haiñ dāstāñ

    aur daur-e-hāl ke hālāt ke haiñ tarjumāñ

    balki kah sakte haiñ in ko qaum ke rūh-e-ravāñ

    aa.ina hote haiñ ye millat ke ehsāsāt

    aur paimāna haiñ goyā mulk ke hālāt

    tolstoy thā jo duniyā ke adīboñ imaam

    hind meñ vāqif hai us ke naam se har ḳhās-o-ām

    ruus meñ paidā huā thā vo adīb-e-ḳhush-kalām

    aur phir duniyā meñ chamkā sūrat-e-māh-e-tamām

    thī himāyat us hāsil un ko jo mahkūm the

    us nazroñ meñ the saare mulk jo mazlūm the

    jab kiyā tasnīf novel jang aur amn-o-amāñ

    ruus ke mazlūm insānoñ ḳhūnī dāstāñ

    ġhāziyān-e-jang-e-āzādī sab likkhā bayāñ

    phir diyā paiġhām un ko the jo mīr-e-kārvāñ

    naujavānoñ ko diyā ik azm-o-himmat payām

    un ko samjhāyā ġhulāmī meñ nadāmat maqām

    haal sab mahkūm mulkoñ use ma.alūm thā

    hausla un baḌhāyā jis qadar mumkin huā

    aur un kashmakash ko ġhaur se dekhā kiyā

    ḳhush huā vo mulk jab bedār koī ho gayā

    san satāvan meñ laḌī ham ne jo āzādī jang

    us se vābasta rahī thī tolstoy umang

    barbariyat añdherī shab meñ parvāna thā vo

    sham-e-āzādī pe miT jaane ko dīvāna thā vo

    jaḌ hilā zulm ik aisā mastāna thā vo

    jaam azmat ke diye ik pīr-e-mai-ḳhāna thā vo

    gorky lenin-o-gāñdhī ne kiyā hai ehtirām

    ham 'shifā' us dīda-var ko pesh karte haiñ salām

    hai jo rah-e-zindagi mein pech-o-KHam ka ek maqam

    ya imarat mein hai jo jah-o-hasham ka ek maqam

    muflisi mein hai jo fikr-o-ranj-o-gham ka ek maqam

    hai tamaddun mein wahi ahl-e-qalam ka ek maqam

    ye badal dete hain dil ki dhaDkanon ko pyar se

    kam nahin hota qalam ka zor kuchh talwar se

    hote hain ahl-e-qalam hi mulk-o-millat ka nishan

    daur-e-mazi ke tamaddun ki yahi hain dastan

    aur daur-e-haal ke haalat ke hain tarjuman

    balki kah sakte hain in ko qaum ke ruh-e-rawan

    aaina hote hain ye millat ke ehsasat ka

    aur paimana hain goya mulk ke haalat ka

    tolstoy tha jo duniya ke adibon ka imam

    hind mein waqif hai us ke nam se har KHas-o-am

    rus mein paida hua tha wo adib-e-KHush-kalam

    aur phir duniya mein chamka surat-e-mah-e-tamam

    thi himayat us ki hasil un ko jo mahkum the

    us ki nazron mein the sare mulk jo mazlum the

    jab kiya tasnif nowel jang aur amn-o-aman

    rus ke mazlum insanon ki KHuni dastan

    ghaziyan-e-jang-e-azadi ka sab likkha bayan

    phir diya paigham un ko the jo mir-e-karwan

    naujawanon ko diya ek azm-o-himmat ka payam

    un ko samjhaya ghulami mein nadamat ka maqam

    haal sab mahkum mulkon ka use malum tha

    hausla un ka baDhaya jis qadar mumkin hua

    aur un ki kashmakash ko ghaur se dekha kiya

    KHush hua wo mulk jab bedar koi ho gaya

    san satawan mein laDi hum ne jo aazadi ki jang

    us se wabasta rahi thi tolstoy ki umang

    barbariyat ki andheri shab mein parwana tha wo

    sham-e-azadi pe miT jaane ko diwana tha wo

    jaD hila di zulm ki ek aisa mastana tha wo

    jam azmat ke diye ek pir-e-mai-KHana tha wo

    gorky lenin-o-gandhi ne kiya hai ehtiram

    hum 'shifa' us dida-war ko pesh karte hain salam

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now