lokmanya-tilak
māya-e-hindostāñ thā bāl-gangā-dhar-tilak
is chaman kā bāġhbāñ thā bāl-gangā-dhar-tilak
ḳhush-kalām-o-ḳhush-bayāñ thā bāl-gangā-dhar-tilak
mehrbāñ thā rāzdāñ thā bāl-gangā-dhar-tilak
kaun bhārat kī ḳhabar le us ke mar jaane ke baa'd
pārsā thā pārsā thā bāl-gangā-dhar-tilak
be-riyā thā be-riyā thā bāl-gangā-dhar-tilak
rahnumā thā rah-numā thā bāl-gangā-dhar-tilak
peshvā thā peshvā thā bāl-gangā-dhar-tilak
kaun bhārat kī ḳhabar le us ke mar jaane ke baa'd
mulk kī rūh-e-ravāñ thā bāl-gangā-dhar-tilak
bā'is-e-ārām-e-jāñ thā bāl-gangā-dhar-tilak
har kisī kā qadr-dāñ thā bāl-gangā-dhar-tilak
is zamīñ par āsmāñ thā bāl-gangā-dhar-tilak
kaun bhārat kī ḳhabar le us ke mar jaane ke baa'd
iftiḳhār-e-hind thā vo bāl-gangā-dhar-tilak
jāñ-nisār-e-hind thā vo bāl-gangā-dhar-tilak
nau-bahār-e-hind thā vo bāl-gangā-dhar-tilak
pās-dār-e-hind thā vo bāl-gangā-dhar-tilak
kaun bhārat kī ḳhabar le us ke mar jaane ke baa'd
mard-e-maidān-e-siyāsat bāl-gangā-dhar-tilak
bā-muravvat bā-mohabbat bāl-gangā-dhar-tilak
sāhab-e-iqbāl-o-shaukat bāl-gangā-dhar-tilak
pāk-sūrat pāk-sīrat bāl-gangā-dhar-tilak
kaun bhārat kī ḳhabar le us ke mar jaane ke baa'd
har ghaḌī sīna-sipar thā bāl-gangā-dhar-tilak
kitnā be-ḳhauf-o-ḳhatar thā bāl-gangā-dhar-tilak
dil-jaloñ se bā-ḳhabar thā bāl-gangā-dhar-tilak
sab kā manzūr-e-nazar thā bāl-gangā-dhar-tilak
kaun bhārat kī ḳhabar le us ke mar jaane ke baa'd
zīnat-e-bāġh-e-vatan thā bāl-gangā-dhar-tilak
ik phalā-phūlā chaman thā bāl-gangā-dhar-tilak
nauha-ḳhvān-o-nā'ra-zan thā bāl-gangā-dhar-tilak
vāqif-e-ranj-o-mehan thā bāl-gangā-dhar-tilak
kaun bhārat kī ḳhabar le us ke mar jaane ke baa'd
rahnumā.ī kar gayā vo bāl-gangā-dhar-tilak
sar par ehsāñ dhar gayā vo bāl-gangā-dhar-tilak
kab kisī se Dar gayā vo bāl-gangā-dhar-tilak
marne vaalā mar gayā vo bāl-gangā-dhar-tilak
kaun bhārat kī ḳhabar le us ke mar jaane ke baa'd
kaash phir duniyā meñ aa.e bāl-gangā-dhar-tilak
shakl phir apnī dikhā.e bāl-gangā-dhar-tilak
aur phir giitā sunā.e bāl-gangā-dhar-tilak
'bismil' aa kar phir na jaa.e bāl-gangā-dhar-tilak
kaun bhārat kī ḳhabar le us ke mar jaane ke baa'd
maya-e-hindostan tha baal-ganga-dhar-tilak
is chaman ka baghban tha baal-ganga-dhar-tilak
KHush-kalam-o-KHush-bayan tha baal-ganga-dhar-tilak
mehrban tha raazdan tha baal-ganga-dhar-tilak
kaun bhaarat ki KHabar le us ke mar jaane ke ba'd
parsa tha parsa tha baal-ganga-dhar-tilak
be-riya tha be-riya tha baal-ganga-dhar-tilak
rahnuma tha rah-numa tha baal-ganga-dhar-tilak
peshwa tha peshwa tha baal-ganga-dhar-tilak
kaun bhaarat ki KHabar le us ke mar jaane ke ba'd
mulk ki ruh-e-rawan tha baal-ganga-dhar-tilak
ba'is-e-aram-e-jaan tha baal-ganga-dhar-tilak
har kisi ka qadr-dan tha baal-ganga-dhar-tilak
is zamin par aasman tha baal-ganga-dhar-tilak
kaun bhaarat ki KHabar le us ke mar jaane ke ba'd
iftiKHar-e-hind tha wo baal-ganga-dhar-tilak
jaan-nisar-e-hind tha wo baal-ganga-dhar-tilak
nau-bahaar-e-hind tha wo baal-ganga-dhar-tilak
pas-dar-e-hind tha wo baal-ganga-dhar-tilak
kaun bhaarat ki KHabar le us ke mar jaane ke ba'd
mard-e-maidan-e-siyasat baal-ganga-dhar-tilak
ba-murawwat ba-mohabbat baal-ganga-dhar-tilak
sahab-e-iqbaal-o-shaukat baal-ganga-dhar-tilak
pak-surat pak-sirat baal-ganga-dhar-tilak
kaun bhaarat ki KHabar le us ke mar jaane ke ba'd
har ghaDi sina-sipar tha baal-ganga-dhar-tilak
kitna be-KHauf-o-KHatar tha baal-ganga-dhar-tilak
dil-jalon se ba-KHabar tha baal-ganga-dhar-tilak
sab ka manzur-e-nazar tha baal-ganga-dhar-tilak
kaun bhaarat ki KHabar le us ke mar jaane ke ba'd
zinat-e-bagh-e-watan tha baal-ganga-dhar-tilak
ek phala-phula chaman tha baal-ganga-dhar-tilak
nauha-KHwan-o-na'ra-zan tha baal-ganga-dhar-tilak
waqif-e-ranj-o-mehan tha baal-ganga-dhar-tilak
kaun bhaarat ki KHabar le us ke mar jaane ke ba'd
rahnumai kar gaya wo baal-ganga-dhar-tilak
sar par ehsan dhar gaya wo baal-ganga-dhar-tilak
kab kisi se Dar gaya wo baal-ganga-dhar-tilak
marne wala mar gaya wo baal-ganga-dhar-tilak
kaun bhaarat ki KHabar le us ke mar jaane ke ba'd
kash phir duniya mein aae baal-ganga-dhar-tilak
shakl phir apni dikhae baal-ganga-dhar-tilak
aur phir gita sunae baal-ganga-dhar-tilak
'bismil' aa kar phir na jae baal-ganga-dhar-tilak
kaun bhaarat ki KHabar le us ke mar jaane ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.