Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mabud se

Ashu mishra

mabud se

Ashu mishra

MORE BYAshu mishra

    ibtidā ho ga.ī maut ke giit

    hai havāoñ meñ dhun dukh ke sañgīt

    shahr dikhne lagā hai bayābān

    raat sunsān din pareshān

    saarī mānūs galiyāñ haiñ anjān

    zindagī chand lamhoñ mehmān

    mere ma.abūd sāñseñ badan ke liye

    ek zanjīr man ke hiran ke liye

    de chhanākā koī ḳhāmushī ke liye

    koī jumla kisī hañsī ke liye

    zard hoñToñ pe koī duā bhej de

    dostoñ ke liye qahqaha bhej de

    bhej de adh-jagī āñkhoñ meñ ḳhvāb ko

    lamhe bhar sukūñ mere ahbāb ko

    thoḌā nān-o-namak har shikam ke liye

    thoḌī muskān har chashm-e-nam ke liye

    ai ḳhudā merī sun le ḳhudā ke liye

    koī ta.avīz de is balā ke liye

    ibtida ho gai maut ke git ki

    hai hawaon mein dhun dukh ke sangit ki

    shahr dikhne laga hai bayaban sa

    raat sunsan si din pareshan sa

    sari manus galiyan hain anjaan si

    zindagi chand lamhon ki mehman si

    mere mabud sansen badan ke liye

    ek zanjir man ke hiran ke liye

    de chhanaka koi KHamushi ke liye

    koi jumla kisi ki hansi ke liye

    zard honTon pe koi dua bhej de

    doston ke liye qahqaha bhej de

    bhej de adh-jagi aankhon mein KHwab ko

    lamhe bhar ka sukun mere ahbab ko

    thoDa nan-o-namak har shikam ke liye

    thoDi muskan har chashm-e-nam ke liye

    ai KHuda meri sun le KHuda ke liye

    koi tawiz de is bala ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now