Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mah

MORE BYBetab Alipuri

    pyārī ammī ne mujh ko

    paidā karke mujh par ik ehsān kiyā hai

    pyaar diyā hai

    maiñ royā to vyākul ho kar

    ne apnā sab kuchh chhoḌā

    jaag jaag kar rāteñ kāTīñ

    khānā-pīnā bhuul ga.ī

    merī ik muskān pe ne phuul bikhere

    aur dukh saare bhuul ga.ī

    lekin maiñ anjān bālak

    terī piit ko jaan na paayā

    mamtā ko pahchān na paayā

    jab maiñ kuchh kuchh jaan gayā huuñ

    tere har upkār ammī

    baal baal par qarz hai mere

    jis se maiñ to aaj talak

    tujh ko kho kar soch rahā huuñ

    jīvan meñ ne ai ammī

    moh meñ rah kar apne hamesha

    ḳhushiyoñ balīdān kiyā hai

    mujh par ik ehsān kiyā hai

    pyari ammi tu ne mujh ko

    paida karke mujh par ek ehsan kiya hai

    pyar diya hai

    main roya to wyakul ho kar

    tu ne apna sab kuchh chhoDa

    jag jag kar raaten kaTin

    khana-pina bhul gai tu

    meri ek muskan pe tu ne phul bikhere

    aur dukh sare bhul gai tu

    lekin main anjaan sa baalak

    teri pit ko jaan na paya

    mamta ko pahchan na paya

    jab main kuchh kuchh jaan gaya hun

    tere har upkar ka ammi

    baal baal par qarz hai mere

    jis se main to aaj talak hi

    tujh ko kho kar soch raha hun

    jiwan mein tu ne ai ammi

    moh mein rah kar apne hamesha

    KHushiyon ka balidan kiya hai

    mujh par ek ehsan kiya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now