Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

malik ka ehsan

Mateen Achalpuri

malik ka ehsan

Mateen Achalpuri

MORE BYMateen Achalpuri

    duniyā bhar meñ insānoñ ke jiine sāmān huā hai

    jānvaroñ mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai

    bhaiñseñ goyā duudh kāneñ kār-āmad haiñ ghoḌe bail

    lamha bhar ko bhī aayā kab bechāroñ ke dil meñ mail

    kuttā apnī khetī baaḌī aur ghar darbān huā hai

    jānvaroñ mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai

    uuñT azal se insānoñ ko sahrā sahrā paar karā.īñ

    hāthī saare jangal jangal bhārī bhārī bojh uThā.eñ

    circus meñ bhīgī billī jangal sultān huā hai

    jānvaroñ mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai

    reindēr shaam savere barf meñ gaaḌī khīñch rahe haiñ

    bail hamāre sadiyoñ se ye khet hamāre sīñch rahe haiñ

    jānvar aise aa.e mayassar mālik ehsān huā hai

    jānvaroñ mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai

    bhālū chham-chham naach dikhā.e billī apnā dil bahlā.e

    mujrim sūñgh ke kuttā ghar baiThe insāf dilā.e

    ghoḌe par sasurāl meñ jaanā dūlhe ko āsān huā hai

    jānvaroñ mulkoñ mulkoñ rozāna gun-gān huā hai

    duniya bhar mein insanon ke jine ka saman hua hai

    jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai

    bhainsen goya dudh ki kanen kar-amad hain ghoDe bail

    lamha bhar ko bhi aaya kab bechaaron ke dil mein mail

    kutta apni kheti baDi aur ghar ka darban hua hai

    jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai

    unT azal se insanon ko sahra sahra par karain

    hathi sare jangal jangal bhaari bhaari bojh uThaen

    circus mein bhigi billi sa jangal ka sultan hua hai

    jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai

    reindeer ji sham sawere barf mein gaDi khinch rahe hain

    bail hamare sadiyon se ye khet hamare sinch rahe hain

    jaanwar aise aae mayassar malik ka ehsan hua hai

    jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai

    bhaalu chham-chham nach dikhae billi apna dil bahlae

    mujrim ki bu sungh ke kutta ghar baiThe insaf dilae

    ghoDe par sasural mein jaana dulhe ko aasan hua hai

    jaanwaron ka mulkon mulkon rozana gun-gan hua hai

    Source:

    Ladle Janwar (Pg. 12)

    • Author: Mateen Achalpuri
      • Publisher: Director Qaumi Council Bara-e- Farogh-e-Urdu Zaban, New Delhi
      • Year of Publication: 2015

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now