Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

malumat-e-najma

Najma Tasadduq

malumat-e-najma

Najma Tasadduq

MORE BYNajma Tasadduq

    ḳharābī us ke pardoñ meñ nihāñ mālūm hotī hai

    mirī hastī mujhī ko dāstāñ mālūm hotī hai

    vafūr-e-josh-e-sajda na pūchho kār-farmā.ī

    jabīn-e-shauq juzv-e-āstāñ mālūm hotī hai

    qavī hotā hai jazb-e-justujū har nā-murādī se

    ba-zāhir sa.ī-e-paiham rā.egāñ mālūm hotī hai

    payām-e-dilbarī detī hai mujh ko kis lagāvaT se

    adā-e-husn dil rāz-dāñ mālūm hotī hai

    mirī turbat pe rakkhā haath kis rashk-e-masīhā ne

    rag-e-sang-e-lahad nabz-e-tapāñ mālūm hotī hai

    nihāñ haiñ husn ra.anā.iyāñ pahnā-e-ālam meñ

    jabhī to aaj tak duniyā javāñ mālūm hotī hai

    dimāġh apnā qadam rakhte pahūñchā arsh-e-a.alā par

    zamīn-e-kū-e-jānāñ āsmāñ mālūm hotī hai

    lagā rahtā hai dhaḌkā ranj-o-ġham aish-o-ishrat meñ

    har ik rāhat jahāñ ġham-nishāñ mālūm hotī hai

    mirā dard-e-nihāñ hai āshkārā merī sūrat se

    ḳhamoshī bhī mirī 'najma' fuġhāñ mālūm hotī hai

    KHarabi us ke pardon mein nihan malum hoti hai

    meri hasti mujhi ko dastan malum hoti hai

    wafur-e-josh-e-sajda ki na puchho kar-farmai

    jabin-e-shauq juzw-e-astan malum hoti hai

    qawi hota hai jazb-e-justuju har na-muradi se

    ba-zahir sai-e-paiham raegan malum hoti hai

    payam-e-dilbari deti hai mujh ko kis lagawaT se

    ada-e-husn dil ki raaz-dan malum hoti hai

    meri turbat pe rakkha hath kis rashk-e-masiha ne

    rag-e-sang-e-lahad nabz-e-tapan malum hoti hai

    nihan hain husn ki ranaiyan pahna-e-alam mein

    jabhi to aaj tak duniya jawan malum hoti hai

    dimagh apna qadam rakhte hi pahuncha arsh-e-ala par

    zamin-e-ku-e-jaanan aasman malum hoti hai

    laga rahta hai dhaDka ranj-o-gham ka aish-o-ishrat mein

    har ek rahat jahan ki gham-nishan malum hoti hai

    mera dard-e-nihan hai aashkara meri surat se

    KHamoshi bhi meri 'najma' fughan malum hoti hai

    Source:

    Shayer Agra Jild 12 Shumara 8 August 1941 (Pg. 38)

      • Publisher: Maktaba Qasrul Adab, Aagra
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now