Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

man

MORE BYNazir Fatehpuri

    chāhatoñ dariyā maañ

    aur ḳhud hai tishna maañ

    zer-e-pā tire jannat

    azmatoñ duniyā maañ

    zahmatoñ nagrī meñ

    rahmatoñ saayā maañ

    dukh ke saḳht jangal meñ

    sukh narm gosha maañ

    ḳhār-zār bastī meñ

    phuul do-shāla maañ

    talḳhiyoñ ke mausam meñ

    pyaar batāshā maañ

    hai dulā.ī sapnoñ

    niiñd bichhaunā maañ

    hai kitāb shafqat

    harf hai duā maañ

    titliyoñ bachpan hai

    phuul hai chehrā maañ

    chup hai saare dukh sah kar

    sabr namūna maañ

    baḳhsh de ḳhatā merī

    maiñ huuñ terā beTā maañ

    yaad aa gayā bachpan

    merā ruuTh jaanā maañ

    aur phir mohabbat se

    vo tirā manānā maañ

    maañ 'nazīr' maañ hai bas

    achchhī aur burī kyā maañ

    chahaton ka dariya man

    aur KHud hai tishna man

    zer-e-pa tere jannat

    azmaton ki duniya man

    zahmaton ki nagri mein

    rahmaton ka saya man

    dukh ke saKHt jangal mein

    sukh ka narm gosha man

    KHar-zar basti mein

    phul ka do-shaala man

    talKHiyon ke mausam mein

    pyar ka batasha man

    hai dulai sapnon ki

    nind ka bichhauna man

    hai kitab shafqat ki

    harf hai dua ka man

    titliyon ka bachpan hai

    phul sa hai chehra man

    chup hai sare dukh sah kar

    sabr ka namuna man

    baKHsh de KHata meri

    main hun tera beTa man

    yaad aa gaya bachpan

    mera ruTh jaana man

    aur phir mohabbat se

    wo tera manana man

    man 'nazir' man hai bas

    achchhi aur buri kya man

    Source:

    Nazm-e-Safar (Pg. 25)

    • Author: Nazir Fatehpuri
      • Publisher: Asbaq Publications, Pune
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now