Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

man ji

MORE BYOmainuz Zahra Sayyad

    kaise pukārūñ ki merī pukār javāb aa.e

    samā.ateñ banjar

    aur sadā beva ho ga.ī

    muddat huī

    aap āvāz ko is taraf

    aur merī sadā aap tak pahuñche

    merī to halkī aahaT bhī sun letī thiiñ

    ab siskiyoñ āvāz nahīñ suntīñ

    maiñ thak jaatī

    to aap god

    fauran thakan ehsās tak jazb kar letī thī

    saare zamāne ke phuul aur itr

    mil kar bhī

    aap ḳhushbū nahīñ banā sake

    maañ

    aap jāntī thiiñ na

    beTiyāñ maañ ke baġhair adhūrī hotī haiñ

    aur aap mujhe adhūrā kar ga.iiñ

    aap ko pata hai

    maiñ baabā jaan ke saath jahāñ bhī jā.ūñ

    ab

    koī safar mukammal nahīñ hotā

    maiñ chāhūñ bhī to

    aap ke baġhair mukammal nahīñ ho paatī

    maañ

    jab aap ne āḳhirī baar mujhe kahā thā

    beTā sab kuchh tere havāle

    to jāntī haiñ

    usī lamhe merī kul kā.enāt luT ga.ī

    vo shaam phir shām-e-ġharībāñ banī

    aap sauñpī tamām zimmedāriyāñ adā kar rahī huuñ

    lekin

    suniye na maañ

    ye thakan kaise utregī

    terī god nemul-badal banānā

    ḳhudā mashiyyat meñ na thā

    kaise pukarun ki meri pukar ka jawab aae

    samaaten banjar

    aur sada bewa ho gai

    muddat hui

    aap ki aawaz ko is taraf

    aur meri sada aap tak pahunche

    meri to halki si aahaT bhi sun leti thin

    ab siskiyon ki aawaz nahin suntin

    main thak jati

    to aap ki god

    fauran thakan ka ehsas tak jazb kar leti thi

    sare zamane ke phul aur itr

    mil kar bhi

    aap ki KHushbu nahin bana sake

    man ji

    aap jaanti thin na

    beTiyan man ke baghair adhuri hoti hain

    aur aap mujhe adhura kar gain

    aap ko pata hai

    main baba jaan ke sath jahan bhi jaun

    ab

    koi safar mukammal nahin hota

    main chahun bhi to

    aap ke baghair mukammal nahin ho pati

    man ji

    jab aap ne aaKHiri bar mujhe kaha tha

    beTa sab kuchh tere hawale

    to jaanti hain

    usi lamhe meri kul kaenat luT gai

    wo sham phir sham-e-ghariban bani

    aap ki saunpi tamam zimmedariyan ada kar rahi hun

    lekin

    suniye na man ji

    ye thakan kaise utregi

    teri god ka nemul-badal banana

    KHuda ki mashiyyat mein na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now