Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

man

MORE BYSuhail Rashid

    maañ tere binā ab mujhe ārām nahīñ hai

    lagtā hai ki duniyā se koī kaam nahīñ hai

    gulshan bahāroñ meñ tujhe DhūñD rahā huuñ

    ākāsh ke tāroñ meñ tujhe DhūñD rahā huuñ

    lākhoñ meñ hazāroñ meñ tujhe DhūñD rahā huuñ

    tujh jaisā magar koī bhī gulfām nahīñ hai

    puurī na ho hai kaun insāñ zarūrat

    lauT aatā hai īmān palaT aatī hai daulat

    duniyā meñ muqarrar hai har ik chiiz qīmat

    maañ terī mohabbat koī daam nahīñ hai

    maañ yaad tirī dil se bhulā.ī nahīñ jaatī

    sūrat tirī āñkhoñ se haTā.ī nahīñ jaatī

    dil vo taḌap hai ki dabā.ī nahīñ jaatī

    ḳhālī tirī yādoñ se koī shaam nahīñ hai

    pardes meñ ab kaun tujhe yaad karegī

    ḳhat likkhegī na likkhūñ to fariyād karegī

    dhamkā.egī mujh ko to kabhī shaad karegī

    maañ kyā huā ab kyuuñ tirā hañgām nahīñ hai

    man tere bina ab mujhe aaram nahin hai

    lagta hai ki duniya se koi kaam nahin hai

    gulshan ki bahaaron mein tujhe DhunD raha hun

    aakash ke taron mein tujhe DhunD raha hun

    lakhon mein hazaron mein tujhe DhunD raha hun

    tujh jaisa magar koi bhi gulfam nahin hai

    puri na ho hai kaun si insan ki zarurat

    lauT aata hai iman palaT aati hai daulat

    duniya mein muqarrar hai har ek chiz ki qimat

    man teri mohabbat ka koi dam nahin hai

    man yaad teri dil se bhulai nahin jati

    surat teri aankhon se haTai nahin jati

    dil ki wo taDap hai ki dabai nahin jati

    KHali teri yaadon se koi sham nahin hai

    pardes mein ab kaun tujhe yaad karegi

    KHat likkhegi na likkhun to fariyaad karegi

    dhamkaegi mujh ko to kabhi shad karegi

    man kya hua ab kyun tera hangam nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now