Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

man

MORE BYRana Sahri

    mire ThanDe badan ko aañch hai apne siine

    mire sūkhe laboñ ko apne hoñToñ namī hai

    mirī sāñsoñ ko apnī dhaḌkanoñ rāgnī hai

    tirā maqrūz huuñ maiñ

    na soyā farsh par to māmtā ban ga.ī bistar

    kabhī barsāt meñ Tapkā purāne phūñs chhappar

    mujhe bāñhoñ meñ apnī kas liyā aur bichh ga.ī mujh par

    mirī tanhā.iyoñ ko loriyoñ se gudgudāyā hai

    mire ashkoñ ko ne apnī palkoñ par uThāyā hai

    kahīñ tab ke ye ma.asūm bachpan muskurāyā hai

    tirī unglī pakaḌ kar dopahar dhuup meñ aksar

    phirā huuñ nange paañv aur apnī be-kasī dekhī

    tirī āñkhoñ meñ lekin zindagī raushnī dekhī

    mirī ḳhātir uThā.e haiñ musalsal bār-e-ġham ne

    mirī ḳhātir zamāne bhar ne ḳhaak chhānī hai

    mirī ḳhātir añdheroñ se kiran bhiik māñgī hai

    tirā maqrūz huuñ maiñ zindagī ab terī ḳhātir hai

    jo kal guzrā vo aañsū thā use āñkhoñ se Tapkā de

    naved-e-sub.h-e-hastī huuñ mire māthe pe bosa de

    tirā maqrūz huuñ maiñ

    mere ThanDe badan ko aanch di hai apne sine ki

    mere sukhe labon ko apne honTon ki nami di hai

    meri sanson ko apni dhaDkanon ki ragni di hai

    tera maqruz hun main

    na soya farsh par to mamta ka ban gai bistar

    kabhi barsat mein Tapka purane phuns ka chhappar

    mujhe banhon mein apni kas liya aur bichh gai mujh par

    meri tanhaiyon ko loriyon se gudgudaya hai

    mere ashkon ko tu ne apni palkon par uThaya hai

    kahin tab ja ke ye masum bachpan muskuraya hai

    teri ungli pakaD kar dopahar ki dhup mein aksar

    phira hun nange panw aur apni be-kasi dekhi

    teri aankhon mein lekin zindagi ki raushni dekhi

    meri KHatir uThae hain musalsal bar-e-gham tu ne

    meri KHatir zamane bhar ki tu ne KHak chhani hai

    meri KHatir andheron se kiran ki bhik mangi hai

    tera maqruz hun main zindagi ab teri KHatir hai

    jo kal guzra wo aansu tha use aankhon se Tapka de

    nawed-e-subh-e-hasti hun mere mathe pe bosa de

    tera maqruz hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now