Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maro na hamein daddy

Raja Mehdi Ali Khan

maro na hamein daddy

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    maaro na hameñ daddy bachpan zamāna hai

    mausam hai ye hañsne hañs hañs ke bitānā hai

    chhoTe se ye bachche haiñ aur itnī baḌī lakḌī

    shaitān ye ḳhāla hāthoñ meñ hai kyuuñ pakḌī

    ik din isī lakḌī ko chūlhe meñ jalānā hai

    maaro na hameñ daddy bachpan zamāna hai

    sofoñ pe agar nācheñ daddy hameñ mat roko

    kuchh apnī bhī izzat hai har baat pe mat Toko

    vo aap kursī hai ye apnā Thikānā hai

    maaro na hameñ daddy bachpan zamāna hai

    barsāt meñ nadiyā saireñ hameñ karne do

    gar Duub ke marte haiñ daddy hameñ marne do

    is duniyā se tan aa.e us duniyā ko jaanā hai

    maaro na hameñ daddy bachpan zamāna hai

    tum bhī kabhī bachche the schōl se bhāge the

    kahte haiñ sharārat meñ shaitāñ se bhī aage the

    ham aap ke bachche haiñ aur aap pe jaanā hai

    maaro na hameñ daddy bachpan zamāna hai

    maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai

    mausam hai ye hansne ka hans hans ke bitana hai

    chhoTe se ye bachche hain aur itni baDi lakDi

    shaitan ki ye KHala hathon mein hai kyun pakDi

    ek din isi lakDi ko chulhe mein jalana hai

    maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai

    sofon pe agar nachen daddy hamein mat roko

    kuchh apni bhi izzat hai har baat pe mat Toko

    wo aap ki kursi hai ye apna Thikana hai

    maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai

    barsat mein nadiya ki sairen hamein karne do

    gar Dub ke marte hain daddy hamein marne do

    is duniya se tan aae us duniya ko jaana hai

    maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai

    tum bhi kabhi bachche the school se bhage the

    kahte hain shararat mein shaitan se bhi aage the

    hum aap ke bachche hain aur aap pe jaana hai

    maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now