Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masum si guDiya

Siya sachdev

masum si guDiya

Siya sachdev

MORE BYSiya sachdev

    vo ik ma.asūm nannhī guḌiyā

    jise haivāniyat ne noch Daalā

    darindo sharm tum ko kyuuñ na aa.ī

    tumhāre ghar bhī hogī maañ jaa.ī

    use sharmindagī mahsūs hogī

    darinda jis tum jaisā hai bhaa.ī

    tumhāre janm par dhikkār nīcho

    paḌe tum par ḳhudā maar nīcho

    jo tum ne vahshī-pan khel khelā

    kisī ma.asūm ne ye kaise jhelā

    gadhoñ tarah us ko noch Daalā

    havas ne kar liyā muñh apnā kaalā

    banā kar maut us ko nivāla

    koī mazlūm ko na yuuñ satā.e

    kisī par bhī na aisā vaqt aa.e

    huā hai zulm vo ma.asūmiyat par

    sune to aatmā bhī kaañp jaa.e

    hamārī bachchiyoñ ko to ḳhudā

    havas ke in darindoñ se bachā.e

    wo ek masum si nannhi si guDiya

    jise haiwaniyat ne noch Dala

    darindo sharm tum ko kyun na aai

    tumhaare ghar bhi hogi man ki jai

    use sharmindagi mahsus hogi

    darinda jis ka tum jaisa hai bhai

    tumhaare janm par dhikkar nicho

    paDe tum par KHuda ki mar nicho

    jo tum ne wahshi-pan ka khel khela

    kisi masum ne ye kaise jhela

    gadhon ki tarah us ko noch Dala

    hawas ne kar liya munh apna kala

    bana kar maut ka us ko niwala

    koi mazlum ko na yun satae

    kisi par bhi na aisa waqt aae

    hua hai zulm wo masumiyat par

    sune to aatma bhi kanp jae

    hamari bachchiyon ko to KHuda hi

    hawas ke in darindon se bachae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now