Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazarat

Riyaz Latif

mazarat

Riyaz Latif

MORE BYRiyaz Latif

    mujhe muaaf karnā

    havāoñ ke pur-soz chehro

    ki maiñ ne tumhāre falak-dar-falak tevaroñ sarāb bhī paayā nahīñ hai

    mujhe muaaf karnā sitāroñ ke saayo

    tumhārī siyāhī ke bosīda nuqtoñ meñ Dhalne se ab tak maiñ qāsir rahā huuñ

    ġhayāboñ nazroñ se tanhā bahā huuñ

    mujhe muaaf karnā mohabbat ke hāmil sarābo

    ki bāñhoñ meñ aa kar basā huuñ tumhārī

    samundar ujḌī sadāoñ sūrat

    kise DhūñDtī hai mirī be-zabānī

    mujhe muaaf karnā abhī tak maiñ ye jaan paayā nahīñ huuñ

    mujhe muaaf karnā abad ke salāsil meñ jakḌī huī saarī chīzo

    ki maiñ vaqt buuñd meñ pyaas tarah boyā gayā huuñ

    zamānoñ āñkhoñ se royā gayā huuñ

    maiñ manzar kisī lamha māvarā

    maiñ ham-asr huuñ titliyoñ ke paroñ

    havā

    ḳhudā

    mujhe muaf karna

    hawaon ke pur-soz chehro

    ki main ne tumhaare falak-dar-falak tewaron ka sarab bhi paya nahin hai

    mujhe muaf karna sitaron ke sayo

    tumhaari siyahi ke bosida nuqton mein Dhalne se ab tak main qasir raha hun

    ghayabon ki nazron se tanha baha hun

    mujhe muaf karna mohabbat ke hamil sarabo

    ki banhon mein aa kar basa hun tumhaari

    samundar ki ujDi sadaon ki surat

    kise DhunDti hai meri be-zabani

    mujhe muaf karna abhi tak main ye jaan paya nahin hun

    mujhe muaf karna abad ke salasil mein jakDi hui sari chizo

    ki main waqt ki bund mein pyas ki tarah boya gaya hun

    zamanon ki aankhon se roya gaya hun

    main manzar kisi lamha mawara ka

    main ham-asr hun titliyon ke paron ka

    hawa ka

    KHuda

    RECITATIONS

    Riyaz Latif

    Riyaz Latif,

    Riyaz Latif

    mazarat Riyaz Latif

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now