Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

magar ye kah nahin sakta

Baharunnisa Bahar

magar ye kah nahin sakta

Baharunnisa Bahar

MORE BYBaharunnisa Bahar

    batāo jān-e-jāñ mere

    ki ghar kab lauT aaoge

    kabhī vāpas na jāoge

    abhī to aa.e the milne

    abhī jaane lage ho phir

    na jaane kitne shikve the

    tumheñ maiñ ne sunāne the

    ka.ī bāteñ adhūrī thiiñ

    jo tum ne mujh se kahnī thiiñ

    ki tum jaldī meñ rahte ho

    hamesha ye kahte ho

    ka.ī sadiyāñ yahāñ bītīñ

    ka.ī mausam yahāñ guzre

    tumhārī chāhatoñ meñ gum

    tumhārī āhaToñ meñ gum

    vafā jo māñgtī ho tum

    magar ye jāntī ho tum

    mujhe fursat nahīñ pal

    ki mujh ko haiñ bahut se kaam

    abhī gardish meñ haiñ ayyām

    tumheñ bas ek dhun

    ki maiñ bāteñ karūñ tum se

    yahī kahtā rahūñ tum se

    zamīn par maiñ jo aaya huuñ

    vafā terī laayā huuñ

    tirā jīvan-sahārā huuñ

    qasam se maiñ tumhārā huuñ

    zarā mujh ko batāo

    jahāñ meñ kaun hai aisā

    ki sāthī paa.e tum jaisā

    to us nahīñ chāhe

    hamesha pyaar karne ko

    hasīñ iqrār karne ko

    magar maiñ kyā karūñ jānāñ

    zarūrat vaqt ye hai

    ka.ī bandhan nibhāne haiñ

    hameñ aañsū bahāne haiñ

    maiñ jab bhī jaane lagtā huuñ

    ye pūchhā mat karo mujh se

    batāo jān-e-jāñ mere

    ki ghar kab lauT aaoge

    kabhī vāpas na jāoge

    yahī bas yaad rakkho tum

    mirā vā'da hai ye tum se

    mujhe fursat milī jab bhī

    to phir maiñ lauT ā.uñgā

    magar ye kah nahīñ saktā

    ki vāpas phir na jā.uñgā

    batao jaan-e-jaan mere

    ki ghar kab lauT aaoge

    kabhi wapas na jaoge

    abhi to aae the milne

    abhi jaane lage ho phir

    na jaane kitne shikwe the

    tumhein main ne sunane the

    kai baaten adhuri thin

    jo tum ne mujh se kahni thin

    ki tum jaldi mein rahte ho

    hamesha hi ye kahte ho

    kai sadiyan yahan bitin

    kai mausam yahan guzre

    tumhaari chahaton mein gum

    tumhaari aahaTon mein gum

    wafa jo mangti ho tum

    magar ye jaanti ho tum

    mujhe fursat nahin pal ki

    ki mujh ko hain bahut se kaam

    abhi gardish mein hain ayyam

    tumhein bas ek hi dhun

    ki main baaten karun tum se

    yahi kahta rahun tum se

    zamin par main jo aaya hun

    wafa teri hi laya hun

    tera jiwan-sahaara hun

    qasam se main tumhaara hun

    zara mujh ko batao na

    jahan mein kaun hai aisa

    ki sathi pae tum jaisa

    to us ka ji nahin chahe

    hamesha pyar karne ko

    hasin iqrar karne ko

    magar main kya karun jaanan

    zarurat waqt ki ye hai

    kai bandhan nibhane hain

    hamein aansu bahane hain

    main jab bhi jaane lagta hun

    ye puchha mat karo mujh se

    batao jaan-e-jaan mere

    ki ghar kab lauT aaoge

    kabhi wapas na jaoge

    yahi bas yaad rakkho tum

    mera wa'da hai ye tum se

    mujhe fursat mili jab bhi

    to phir main lauT aaunga

    magar ye kah nahin sakta

    ki wapas phir na jaunga

    Source:

    Aks-e-Bahar (Pg. 43)

    • Author: Baharunnisa Bahar
      • Publisher: Al-Qamar Enterprises, Lahore
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now