Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mahatma gandhi

Sabir Abuhari

mahatma gandhi

Sabir Abuhari

MORE BYSabir Abuhari

    ai faqīr-e-nīm-uryāñ ai vatan ke pāsbāñ

    manzil-āsūda huā tere karam se kārvāñ

    rashk-e-sad-shamshīr thā terā asā-e-be-zarar

    us ke Dar se kāñpte the sāmrājī hukmrāñ

    sehr thā terā takallum mo.ajiza terā sukūt

    terī har tahrīr meñ thā ġhaib farmāñ nihāñ

    qaum murda ragoñ meñ ne dauḌāyā lahū

    hindiyoñ past himmat ko kiyā phir se javāñ

    thā ḳhizāñ daur-daura ḳhema-zan sayyād the

    tere dam se ban gayā sehn-e-chaman rashk-e-jināñ

    hind kyā terī badaulat asia bedār hai

    ek duniyā māntī hai terā ehsān-e-girāñ

    thī farishtoñ se bhī bartar pāk-dāmānī tirī

    nūr-e-bātin se tire raushan hue kaun-o-makāñ

    aadmī ne tujh se sīkhā ihtirām-e-ādmī

    ġhairiyat hind se ne miTā Daalā nishāñ

    do-jahāñ meñ aadmī bol-bālā kar diyā

    ādamiyyat ke liye qurbān kar ke naqd-e-jāñ

    ham ko terī rahnumā.ī zarūrat thī abhī

    aur udhar takte the terī raah ahl-e-āsmāñ

    ik sitam thā rāhi-e-mulk-e-adam honā tirā

    ġham se sar piiTā zamīñ ne ḳhuun royā āsmāñ

    ai faqir-e-nim-uryan ai watan ke pasban

    manzil-asuda hua tere karam se karwan

    rashk-e-sad-shamshir tha tera asa-e-be-zarar

    us ke Dar se kanpte the samraji hukmran

    sehr tha tera takallum moajiza tera sukut

    teri har tahrir mein tha ghaib ka farman nihan

    qaum ki murda ragon mein tu ne dauDaya lahu

    hindiyon ki past himmat ko kiya phir se jawan

    tha KHizan ka daur-daura KHema-zan sayyaad the

    tere dam se ban gaya sehn-e-chaman rashk-e-jinan

    hind kya teri badaulat asia bedar hai

    ek duniya manti hai tera ehsan-e-giran

    thi farishton se bhi bartar pak-damani teri

    nur-e-baatin se tere raushan hue kaun-o-makan

    aadmi ne tujh se sikha ihtiram-e-admi

    ghairiyat ka hind se tu ne miTa Dala nishan

    do-jahan mein aadmi ka bol-baala kar diya

    aadamiyyat ke liye qurban kar ke naqd-e-jaan

    hum ko teri rahnumai ki zarurat thi abhi

    aur udhar takte the teri rah ahl-e-asman

    ek sitam tha rahi-e-mulk-e-adam hona tera

    gham se sar piTa zamin ne KHun roya aasman

    Source:

    Nawa-e-Junoon (Pg. 109)

    • Author: Sabir Abuhari
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1978

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now