gandhi
āġhosh meñ phūloñ kī thiraktā huā sho.ala
añgāroñ ke gahvāre meñ soī huī shabnam
ik jazba ik ehsās ik andāz ik āvāz
nikhrā huā ik dard tapāyā huā ik ġham
insān kī sūrat meñ dhaḌaktā huā ik dil
paikar meñ anāsir ke koī dīda-e-pur-nam
siine meñ samo.e hue gañgā kā tamavvuj
kāñdhe pe himāla kā uThā.e hue parcham
nairañgī-e-afkār kā simTā huā dariyā
betābī-e-jazbāt kā Thahrā huā tūfāñ
fārūq kā matvālā uḳhuvvat kā pujārī
'gautam' kā dilā-rām ahinsā kī rag-e-jāñ
apnī hī ḳhatāoñ kā vo naqqād javāñ-fikr
vo apne hī asrār kā ik sail-e-ḳhirāmāñ
māhaul ke siine kā dahaktā huā laavā
tārīḳh ke māthe pe sajā.ī huī afshāñ
aaghosh mein phulon ki thirakta hua shoala
angaron ke gahware mein soi hui shabnam
ek jazba ek ehsas ek andaz ek aawaz
nikhra hua ek dard tapaya hua ek gham
insan ki surat mein dhaDakta hua ek dil
paikar mein anasir ke koi dida-e-pur-nam
sine mein samoe hue ganga ka tamawwuj
kandhe pe himala ka uThae hue parcham
nairangi-e-afkar ka simTa hua dariya
betabi-e-jazbaat ka Thahra hua tufan
faruq ka matwala uKHuwwat ka pujari
'gautam' ka dila-ram ahinsa ki rag-e-jaan
apni hi KHataon ka wo naqqad jawan-fikr
wo apne hi asrar ka ek sail-e-KHiraman
mahaul ke sine ka dahakta hua lawa
tariKH ke mathe pe sajai hui afshan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.