gandhi ke baad
ba.ad gāñdhī ke na sun ham ne samāñ dekhā kyā
fasl-e-gul aate hī har bāġh-o-chaman ujḌā kyā
dil hī afsurda ho jab peshkash-e-sahbā kyā
aañkh hī jab na rahe da.avat-e-nazzāra kyā
zindagī maut se bad-tar ho to phir jiinā kyā
bhuuk se dāman-e-hastī ko siye jaate haiñ
zindagī chhīn ke auroñ ke jiye jaate haiñ
har-nafas ahd vafāoñ ke liye jaate haiñ
ḳhuun arzāñ hai ġharīboñ kā piye jaate haiñ
jab ye piine hī par aa jaa.eñ to phir dariyā kyā
husn bhī ġhamza-o-andāz-o-adā bhuul gayā
ishq bhī jalva-e-rañgīñ kī ziyā bhuul gayā
jo parastār-e-vafā thā vo vafā bhuul gayā
raah sunte haiñ ki ḳhud rāh-numā bhuul gayā
kārvāñ manzil-e-maqsūd pe pahuñchātā kyā
ye jo aa.ī hai hamāre hī lahū kī hai bahār
ye jo uḌtā hai hamāre hī diloñ kā hai ġhubār
barahman hai to koī ābid-e-shab-zinda-dār
koī suntā nahīñ is daur meñ insāñ kī pukār
bazm-e-mātam meñ jo chheḌe to koī naġhma kyā
ḳhirman-e-zulm ko ab aag lagā de koī
chāñd-tāroñ ke charāġhoñ ko bujhā de koī
āsmānoñ ko zamīnoñ pe jhukā de koī
jā ke 'gāñdhī' ki ye sab haal sunā de koī
zulm dhāte haiñ ahinsā ke pujārī kyā kyā
baad gandhi ke na sun hum ne saman dekha kya
fasl-e-gul aate hi har bagh-o-chaman ujDa kya
dil hi afsurda ho jab peshkash-e-sahba kya
aankh hi jab na rahe dawat-e-nazzara kya
zindagi maut se bad-tar ho to phir jina kya
bhuk se daman-e-hasti ko siye jate hain
zindagi chhin ke auron ke jiye jate hain
har-nafas ahd wafaon ke liye jate hain
KHun arzan hai gharibon ka piye jate hain
jab ye pine hi par aa jaen to phir dariya kya
husn bhi ghamza-o-andaz-o-ada bhul gaya
ishq bhi jalwa-e-rangin ki ziya bhul gaya
jo parastar-e-wafa tha wo wafa bhul gaya
rah sunte hain ki KHud rah-numa bhul gaya
karwan manzil-e-maqsud pe pahunchata kya
ye jo aai hai hamare hi lahu ki hai bahaar
ye jo uDta hai hamare hi dilon ka hai ghubar
barahman hai to koi aabid-e-shab-zinda-dar
koi sunta nahin is daur mein insan ki pukar
bazm-e-matam mein jo chheDe to koi naghma kya
KHirman-e-zulm ko ab aag laga de koi
chand-taron ke charaghon ko bujha de koi
aasmanon ko zaminon pe jhuka de koi
ja ke 'gandhi' ki ye sab haal suna de koi
zulm dhate hain ahinsa ke pujari kya kya
- Naye Tarane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.