Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main aur tum

Maimoona Abbas Khan

main aur tum

Maimoona Abbas Khan

MORE BYMaimoona Abbas Khan

    raat ke pichhle pahar sunsān saḌkeñ

    rim-jhim barastī bārish phuvār meñ bhīgtī

    jaise uThī thiiñ

    jab mere haath apne hāthoñ meñ liye tum ne

    lams hiddat se bojhal hotī

    be-tartīb sāñsoñ ke beach ulajhtī

    apnī dil-nashīn āvāz

    mere kānoñ meñ tumhāre liye

    merī āḳhirī nazm sūrat utārī thī

    is anmol lamhe meñ

    tumhārī zaat ke sehr meñ khoī huī maiñ

    kisī anjān yaad kasak tale

    dhīre se sulagte hue tum

    mohabbat ulūhī naġhma alāptīñ

    gaaḌī ke shīshoñ se Takrātīñ

    rim-jhim barastī būñdeñ

    dashboard pe dharī bhaap uḌātī

    hamāre laboñ meñ paivast hone ko be-qarār

    kaafī do muntazir pyāliyāñ

    chahār-sū chhā.ī tumhāre ehsās ḳhushbū se

    jaise jāvedāñ ho chale the

    yaad nahīñ paḌtā hai ab

    ki maiñ tum aur kaafī mahak

    bārish ke haale meñ

    tumhārī nazmoñ chhatrī tale

    ek dūsre meñ kitnā ghul ga.e the

    bas itnā pata hai

    ki

    vaqt

    is lamhe

    apnī muTThī meñ qaid

    hamāre hisse ke pal

    ham pe vārne

    Thahar gayā thā

    raat ke pichhle pahar ki sunsan saDken

    rim-jhim barasti barish ki phuwar mein bhigti

    jaise ji uThi thin

    jab mere hath apne hathon mein liye tum ne

    lams ki hiddat se bojhal hoti

    be-tartib sanson ke beach ulajhti

    apni dil-nashin aawaz

    mere kanon mein tumhaare liye

    meri aaKHiri nazm surat utari thi

    is anmol lamhe mein

    tumhaari zat ke sehr mein khoi hui main

    kisi anjaan si yaad ki kasak tale

    dhire se sulagte hue tum

    mohabbat ka uluhi naghma alaptin

    gaDi ke shishon se Takraatin

    rim-jhim barasti bunden

    dashboard pe dhari bhap uDati

    hamare labon mein paiwast hone ko be-qarar

    kafi ki do muntazir pyaliyan

    chahaar-su chhai tumhaare ehsas ki KHushbu se

    jaise jawedan ho chale the

    yaad nahin paDta hai ab

    ki main tum aur kafi ki mahak

    barish ke haale mein

    tumhaari nazmon ki chhatri tale

    ek dusre mein kitna ghul gae the

    bas itna pata hai

    ki

    waqt

    is lamhe

    apni muTThi mein qaid

    hamare hisse ke pal

    hum pe warne

    Thahar gaya tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now