main baghi hun nizam-e-zindagi ka
mujhe dair-o-haram se vāstā kiyā
nazar meñ donoñ 'ālam merī dhokā
fareb-o-vahm hai hastī sarāpā
ziyāñ hai ye bisāt-e-dahr saarā
maiñ bāġhī huuñ nizām-e-zindagī kā
uTho maiñ naujavāñ teġh-āzmā huuñ
bacho maiñ josh-e-tūfān-e-balā huuñ
chalo maiñ bahr-e-ġham kā nā-ḳhudā huuñ
baḌho maiñ ‘azm-e-manzil-āshnā huuñ
maiñ bāġhī huuñ nizām-e-zindagī kā
kaḌaktī raa'd hai merī javānī
qayāmat-soz sho'loñ kī ravānī
bhañvar girdāb shorish nā-gahānī
ajal mazdūr kā dil aag paanī
maiñ bāġhī huuñ nizām-e-zindagī kā
maiñ zahr-ālūd mār-e-āstīñ huuñ
maiñ dīpak kā surūd-e-ātishīñ huuñ
‘amal ke lā-makānoñ kā makīñ huuñ
maiñ ik majbūr sā insāñ nahīñ huuñ
maiñ bāġhī huuñ nizām-e-zindagī kā
suno merī sadā bāñg-e-sahar hai
mirā dil bijliyoñ kā mustaqar hai
'imārat kī zamīñ zer-o-zabar hai
na.ī tā'mīr par merī nazar hai
maiñ bāġhī huuñ nizām-e-zindagī kā
mujhe dair-o-haram se wasta kiya
nazar mein donon 'alam meri dhoka
fareb-o-wahm hai hasti sarapa
ziyan hai ye bisat-e-dahr sara
main baghi hun nizam-e-zindagi ka
uTho main naujawan tegh-azma hun
bacho main josh-e-tufan-e-bala hun
chalo main bahr-e-gham ka na-KHuda hun
baDho main ‘azm-e-manzil-ashna hun
main baghi hun nizam-e-zindagi ka
kaDakti ra'd hai meri jawani
qayamat-soz sho'lon ki rawani
bhanwar girdab shorish na-gahani
ajal mazdur ka dil aag pani
main baghi hun nizam-e-zindagi ka
main zahr-alud mar-e-astin hun
main dipak ka surud-e-atishin hun
‘amal ke la-makanon ka makin hun
main ek majbur sa insan nahin hun
main baghi hun nizam-e-zindagi ka
suno meri sada bang-e-sahar hai
mera dil bijliyon ka mustaqar hai
'imarat ki zamin zer-o-zabar hai
nai ta'mir par meri nazar hai
main baghi hun nizam-e-zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.