Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main do janma

Satyapal Anand

main do janma

Satyapal Anand

MORE BYSatyapal Anand

    aaj din aur kal jo guzar gayā ye donoñ

    mere shānoñ par baiThe haiñ

    kal din baa.eñ kandhe par jam kar baiThā

    mere baa.eñ kaan nāzuk lau ko pakḌe

    chīḳh chīḳh kar ye elaan kiye jaatā hai

    ''maiñ zinda huuñ!

    baa.eñ jānib kandhā moḌ ke dekho mujh ko''

    aaj din jo

    daa.eñ kandhe par ārām se paañv phailā kar baiThā hai

    baar baar dhīme lahje meñ ek baat ko dohrātā hai

    ''mat dekho us ajal-rsīda kal ko

    jo ab kisī bhī dam uThne vaalā hai

    mujh ko dekho, baat karo, maiñ chaltā-phirtā aaj din huuñ

    saañs Dorī mujh se bañdhī hai

    kyā lenā denā hai ik āsūda-e-ḳhāk se ham jaise zindoñ ko''

    daa.eñ baa.eñ gardan moḌ ke donoñ bāteñ suntā huuñ

    gardan meñ bal paḌ jaatā hai

    kuchh sustā kar phir sunñe lagtā huuñ in raam kahānī!

    shāyad sach kahte haiñ donoñ!

    maazī bhalā kahāñ martā hai?

    zindoñ se bhī bad-tar, ye murda to zehn meñ gaḌā huā hai

    jaise kaale marmar sil katba ho

    aur phir aaj zinda paikar?

    aane vaale kal ke din tak is ko maiñ kaise jhuTlā.ūñ

    koī batā.e

    maiñ do-janmā

    apne do shānoñ par baiThe aaj aur kal se kaise nipTūñ?

    aaj ka din aur kal jo guzar gaya ye donon

    mere shanon par baiThe hain

    kal ka din baen kandhe par jam kar baiTha

    mere baen kan ki nazuk lau ko pakDe

    chiKH chiKH kar ye elan kiye jata hai

    main zinda hun!

    baen jaanib kandha moD ke dekho mujh ko

    aaj ka din jo

    daen kandhe par aaram se panw phaila kar baiTha hai

    bar bar dhime lahje mein ek hi baat ko dohraata hai

    mat dekho us ajal-rsida kal ko

    jo ab kisi bhi dam uThne wala hai

    mujh ko dekho, baat karo, main chalta-phirta aaj ka din hun

    sans ki Dori mujh se bandhi hai

    kya lena dena hai ek aasuda-e-KHak se hum jaise zindon ko

    daen baen gardan moD ke donon ki baaten sunta hun

    gardan mein bal paD jata hai

    kuchh susta kar phir sunne lagta hun in ki ram kahani!

    shayad sach kahte hain donon!

    mazi bhala kahan marta hai?

    zindon se bhi bad-tar, ye murda to zehn mein gaDa hua hai

    jaise kale marmar ki sil ka katba ho

    aur phir aaj ka zinda paikar?

    aane wale kal ke din tak is ko main kaise jhuTlaun

    koi batae

    main do-janma

    apne do shanon par baiThe aaj aur kal se kaise nipTun?

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now